Welcome Guest Login or Signup

aneela
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


Viewing 19 - 27 out of 39 Blogs.


<< First  < Previous | Page:  1 | 2 | 3 | 4 | 5 | Next >  Last >>


khawab sajyia na jay ga
Posted On 18/11/2007 20:27:55

aankhoun mein koe khawab sajyia na jay ga

chaht ka bohjh hum sy uthiya na jay ga

jab pehli bar aap ny thaama tha hath mera
lahma sari umer wo bhulyia na jay ga

chalni sa ho gaia dil-e- zar dekh lo
aab dosti ka hath bharyia na jay ga

hum ny ye souch ker unhe
tohffa na dea
kafan ka bojh un sy uthyia na jay ga


awaz humny deni hei her muqam per
go janty hein aap sy ayia na jay ga

dost 'chand doub gaia jany kis ghari
lagta hai chahtt sy sayia na jay ga

Na wo farishta ho na farishte jaisi ho,
Posted On 18/11/2007 20:25:23

Na wo farishta ho na farishte jaisi ho,
Mujhe talash hai uski jo mere jaisi ho,


Mere DIL ko pehchanti ho bas kafi hai,
Wo koi bhi ho, kahi bhi ho, kaisi bhi ho,


Muskura ke manaye, woh aisi ho,
Jo baat kare to woh nibha bhi sake,


Iradon mein woh apne chatanon jaisi ho,
Dukhon mein hansne ka hunar jaanti ho,


Woh sirf meri ho, jo nigahon mein haya rakhti ho,
Umar bhar saath chalne ka irada rakhti ho,


Jo khawaab dene ko qadir ho meri aankhon ko,
Meri mohabbat ko pehchan sake woh aisi ho..!!!

hart-E-Wafa RakhenGe,
Posted On 18/11/2007 20:24:16
Is Zamane Se Na Hum Koi Gila RakhenGe,
Dil LagayenGe To Na Shart-E-Wafa RakhenGe,


Na DikhayenGe Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhe,
Dard UtheGa Magar Dil Ko Daba RakhenGe,


Jaan De Denge Agar ek Ishaara Kar De,
Ham Use Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhenge,


Sab Hata Denge Teri Raah Ki Rukawat Hamdam,
Ghar Ke Darwaze Ko Har Waqt Khula RakhenGe,


Unki Har Baat Ko Bhoole Se Na BhoolenGe Kabhi,
Unki Yaadoon Ko Bhi Seene Se Laga RakhenGe,


Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aane Ki,
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Mein Jala RakhenGe...!!

Qabil Na REhy
Posted On 18/11/2007 20:22:50
mana k tery pyiar k qabil nahi rehy.
dukh ye hei k etbar k qabil nahi rehy.

tujh per luta k dik ki zamany ki her khushi.
ay dost muskurany k qabil na rehy

Q etna tujh se pyair kiya soochty hein hum
aab to kahen bhi jany k qabil na rehy

qadmoun mein tery khood ko jhuka kar bhula dea
aab to ye sar uthany k qabil na rehy

meri hyaiat se juri hei our zendagi
majboor hein mar jany k qabeel na rehy

Hum Naazuk Naazuk DiL waalay
Posted On 18/11/2007 20:18:29
Hum Naazuk Naazuk DiL waalay
Kabhi Hastay hain Kabhi Rotay hain
Kabhi DIL main Khawab Parotay Hain
Kabhi Mehfil Mehfil Phirtay hain
Kabhi Zaat Main tanha Hotay hain
Kabhi Chup ki Mohr Sajaatay hain
kabhi Geet Laboon Par atay hain
Kabhi sab Ka dIL behlaatay hain
Kabhi Zaat main Tanha hotay hain
kabhi Shab bhar Jaagtay rehtay hain
kabhi Lambi TaaN k sotay hain
Hum Nazuk Nazuk diL waalay
Bus Apnay Aaap main rehtay hain
HUm Kon kisi k hotay hain
Hum NAAZUK NAZUK Dil Wale

Aik Lakeer Terey Naam Ki
Posted On 18/11/2007 20:16:27
Aik Lakeer Terey Naam Ki

Aik Lakeer Terey Naam Ki
kuch udaas kuch khamosh
kuch bebas see lakeerien merey
haath ki?
Dhoondti Rehti hoon aksar in Lakeeron main
Aik lakeer tere naam ki
Kuch maloom bhi hey
Kuch dil bhi janta hey
Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
Phir bhi naa jane kion dhondti Rehti hoon
Aksar ek lakeer tere naam ki
Aik lakeer
terey naam ki....


Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kerte The
Posted On 18/11/2007 20:12:23

Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kerte The
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The
Kiya Baat Hai Kiyoon Mujh Se Khaffa Bethe Ho
Kiya Kissi Aur Ko Dil Apna Dein Bethe Hoo
Faasale To Pehle Na Hua Kerte The AnMoL
Main Woh Hoon Jispe Tum Aetbaar Kiya Kerte the
Mujh ko Maaloom Hai Gum Hay Koi Sogaat Nahein
Tum Mujhe Apna Kahoo Aise Bhi Haalaat Nahein
Aur Ager Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahein
Zakham To Pehle Bhi Is Dil Pe Lagga Kerte The
Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kertte The
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The
Dil Mein Aata Hai Tumhein Terpa Doon
Derd Jo Tumne Diya Hai Wo Tumhein Loata Doon
Aur Ager Jurm Na Samnjho To Ye Dohra Doon
Tum Mujhe Hasil-E- Armaan Kaha Kerte The

zindagi aur khwab
Posted On 18/11/2007 20:10:52
zindagi aur khwab

yaad aata hai mujhe bachpan mera
ek parinda dost tha bas jab mera
sang usake udna chaha seekhna
par parinda hans diya aur ud gaya

dost meri ek titali bhi to thi
jisake rangon ki rahi hasrat mujhe
khushboo ka uska safar chahat meri
par vo titali muskurai ud gai

meri muththi me bahut se juganu the
maine socha zindagi roshan karun
par jo kholi muththi saare ud gae
meri duniya bas andheri hi rahi

ek chidiya roz gana gati thi
har subah khidaki pe meri rahti thi
main vo gana seekhna bhi chahati thi
par meri aawaz us jaisi na thi

ek patang udati falak me door thi
uskaa thin thin dolna achcha laga
dor usaki thami thi ke paa sakun
kat gai thi vo patang aur ro di main

chahaten poori nahi ho paati hain
jaana us din maine tanha baith kar
zindagi hai aur chahat aur hai
ik haqeeqat hai aur ik bas khwab hai

kisi k liye
Posted On 18/11/2007 20:09:28
Meray luboun pey sajji hai Dua kisi key Liye
Meray Khuda mujhe hansna sikha kisi key Liye


Mujhe yaqeen hai yeh mujh sey na hoo sakey ga magar.....
Main ker raha houn kisi sey wafa kisi key Liye


Nahin milounga agar khho diya tou ney tu....
Na apney haath sey ganwa mujhe kisi key Liye

Meray janoon ko tu yeh baat bhi gawara hai
Meray Liye na sahi phir bhi Aaa kisi key Liye

Mein saath saath houn uss key baadbaan ki tarah
Meray Khuda meri saansein barha kisi key liye....
..



<< First  < Previous | Page:  1 | 2 | 3 | 4 | 5 | Next >  Last >>