Welcome Guest Login or Signup

aneela
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


RSS
hart-E-Wafa RakhenGe,
Posted On: 18/11/2007 20:24:16
Is Zamane Se Na Hum Koi Gila RakhenGe,
Dil LagayenGe To Na Shart-E-Wafa RakhenGe,


Na DikhayenGe Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhe,
Dard UtheGa Magar Dil Ko Daba RakhenGe,


Jaan De Denge Agar ek Ishaara Kar De,
Ham Use Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhenge,


Sab Hata Denge Teri Raah Ki Rukawat Hamdam,
Ghar Ke Darwaze Ko Har Waqt Khula RakhenGe,


Unki Har Baat Ko Bhoole Se Na BhoolenGe Kabhi,
Unki Yaadoon Ko Bhi Seene Se Laga RakhenGe,


Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aane Ki,
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Mein Jala RakhenGe...!!


Bookmark: