|
Viewing 10 - 18 out of 39 Blogs.
| Page:
|
2 |
|
|
|
WOH MERAY PAAS HAI,KIYA PAAS BULAOON US KO DIL MAY REHTA HAI ,KAHAN DHOONDNAY JAOON US KO AJJ PHIR PEHLI MULAQAAT SE AGHAAZ KAROON AAJ PHIR DOOR SE HI DEKH KAY AOON US KO QAID KAR LOON USAY AANKHON KAY NIHAA KHANO MAY CHAHTA HOON KAY KISI SAY NA MILAOON US KO USAY DUNIYA KI NIGHAOO SAY KAROON MAY MEHFOOZ WO WAHA HO KAY JAHAN DEKH NA PAOON US KO WO MUJHAY ITNA SUBUK ITNA SUBUK LAGTA HAI KABHI GIR JAYE TO PALKOON SAY UTHAOON US KO CHALNA CHAHAY TO RAKHAY PAOON MERAY SEENAY PAR BAITHNA CHHAYE TO AANKHON PAY BITHAOON US KO YAAD SAY US KI NAHI KHALI KOI BHI LAMHAA PHIR DARTA HOON KAHIN BHOOL NA JAOON US KO
Aik Lamha Lagta Hai Dil Kisee Pay Anay Main Mujh Ko Bhi Mila Tha Woh Jis Ko Dekhtay Hi Dil
Betahasha Dharka Tha Mujh Se Keh Raha Tha Woh
Tum Se Pyar Hai Mujh Ko Muskura Kay Main Nay Bhi Phool Le Lia Us Say Haath Haath Main Le Kar
Pyar Kay Ata Karda Aasman Pay Hum Dono Chahtay Thay Saath Urna Aasman Pay Jeevan Bhar Koi Urr Saka Hai Kia Haath Haath Se Choota
Aik Sitara Jo Toota Tab Khabar Hui Mujh Ko Aik Lamha Lagta Hai Dil Kay Toot Janay Main
Aur Umar Lagtee Hai Kirchian Uthanay Main
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel Wo Chaand Aaj Bhi Mohsin Ko Kam Numa Sa Lagay --
Zindagi bhar ki Bandagi le lo Meri ulfat ki sadgi le lo Ek pal ki mujhe Kushi de ker Mujh se meri ye Zindagi le lo Apna her Dukh mujhe de do Mere jevan ki her kushi le lo Chnd sansai'n mera asasa hay Laina chaho to inko B le lo Meri kismat me khaar rehne do Mere daman ki her kali le lo Main khizao'n me zinda reh lunga Tum baharo'n ki taazgi le lo Aaj tum se yahi guzarish hay Ek pal ki kushi "mujhe De Do"
Aaj hamai'n ye baat samaj me aai hay tum mosam ho or mosam harjai hay tu ne kis mor pe chor diya mujh ko Dil ki baat chupao'n to rusvai hay tere baad bacha he kiya hay jeevan me main ho'n bheegi sham hay or tanhai hay aaj meri aankho'n me savan utre ga aaj boht din bad teri yaad aai hay jane main kiya soch k chup ho'n gum sum ho'n jane wo kiya soch k aai hay.
Zindagi ki Talash...!
Mughe zindagi ki talaash thi So mai chal para An dekhi raahon per Jahan socha tha Khushyon ka saath hoga Parindon ki chehchahat hogi Mager ! Mughe kya khaber thi Kahin door jane se Qismat badal nahi jaati Taqdeer mai hon ager aanso To ! Koi khushi raas nahi ati So ...Ae zindagi Maine tughe khoodya Teri hee talaash mai...!
" BEETA MAUSAM" --------------------------------
Mausam ki tarah janay kiu kuch log badal gaye ub sarary musam dil kay janay kiu khizaan hu gaey
Ajeeb say dasht-o-sehra main bhatak rahe hain hum seairaab hu kay samandar say janay kiu pyasay hu gaey
Jalti hui rait main nagain paoon chltian hain ub tu hum tapti hui dhoop main janay kiu be-saibaan hu gaey
Bari muddat kay baad ek roshni ki chamak ju mili thi humain wo chandi ki roshni wo tarey sub janay kiu undhera hu gaey
Meri mohabbat ku na keray gi shumar wo kahbhi upni zindagi main hum us ajnabee kay payr main janay kiu dewane hu gaey
Koi malaal na koi yaad baqi rahi hay ub dil main humaray us ku tammam yadien lauta ker janay kiu hum jaan say gaey
Guzray dinu ki chund yaddon ku bhi ajj hum nay duffan ker dya aur sub kuch bhola ker hum bhi janay kiu ajnabee hu gaey
Humain ub na pukurna phir say ae dostoon khabhi is bewafa dunia main reh ker janay kiu hum bhi bewafa hu gaey
Bahaar phir say na aye gi ub is ujray huay chaman main ainy pholoon kay khilnay kay janay kiu wo sarey musam beet gaey
PALKEIN BHEEG GAEIN !
Aa tehri jab barsaat, tu palkain bheeg gaien Roee jab bhi raat, tu palkein bheeg gaein
Aankhoon ko jab, gehri kaali barkha ki Sonp gya soghaat, tu palkein bheeg gaein
Apnay bhi jab chor kay wapas paltay thay Thaama us nay haath tu palkein bheeg gaein
Yu'n tu har nuqsaan pay haavi zabt raha Bikher gai jab zaat, tu palkein bheeg gaein
Phelay tu aankhoon main hairat tehri thi Smajh main aai baat, tu palkein bheeg gaein
Baat bichernay per hi khatam nahi hoti Chala jo koi saath, tu palkein bheeg gaein
Har ilzaam ko sehnay ka koi ehad tu tha Aur chiri jab baat, tu palkein bheeg gaein...!!!
pyair k deep jalany waly kouch kouch pagal hoty hein
apni jan sy jany waly kouch kouch pagal hoty hein hejar k kouch zaqam mily to mujhy ehsas howa
pagal ko samjhany waly kouch kouch pagal hoty hein jan sy pyairy logoun sy kouch kouch parda lazim hei
sari bat batany waly kouch kouch padal hoty hein es jhoti nagri mein humny yehi humesha dekha hei sachi bat batany waly kouch kouch pagal hoty hein
pyair jenhey ho jay in ko chen bhala kab milta hei shab bher aansoun bhany waly kouch kouch pagal hoty hein
apni zat k ujry gulshan say wo pyair kab karty hein ouroun ko mehkany waly kouch kouch pagal hoty hein
es k eshq mein doob ker humy ye ehsas howa dil ki bataoun mein aany waly kouch kouch pagal hoty hein
| Page:
|
2 |
|
|
|
|