Welcome Guest Login or Signup

aneela
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


Viewing 28 - 36 out of 39 Blogs.


<< First  < Previous | Page:  1 | 2 | 3 | 4 | 5 | Next >  Last >>


koi baat nahi
Posted On 18/11/2007 20:06:19
YEHI WAFA KA SILA HAI TU KOI BAAAT NAHI
YEH DARD TUM NE DEYA HAI TU KOI BAAT NAHI
YEH BOHAT HAI KEH TUM DEKHATY HO SAHIL SE
SAFINAA DOOB RAHA HAI TU KOI BAAT NAHI
TUM HE NE TU AIYNA DIL MERA BANYA THA
TUM HE NE TOOR DEYA TU KOI BAAT NAHI
RAKHA THA ASHIYANA _E_DIL MAIN CHUPA KER TUM KO
WO GHER TUM NE CHOR DEYA TU KOI BAAT NAHI
KISI KI MAJAAL KAY KOI MUJHY DEEWANA KAHY
AGER YEH TUM NE KAHA HAI TU KOI BAAT NAHI

suno larki
Posted On 18/11/2007 20:03:24

Suno Larki..!!
Abhi Tum Ishq Mat Karna..
Abhi Guriya Se Khailo Tum..
Tumhari Umar Hi Kya Hai..?
Faqt 21 Baras Ki Ho..?
Abhi Masoom Bachi Ho..
Nahin Maloom Abhi Tum Ko..
K Jab Yeh Ishq Hota Hai..
To Insaan Kitna Rota Hai..
Sitaray Toot Jatay Hain..
Saharay Choot Jatay Hain..
Abhi Tum Nay Nahin Dekha..
K Jab Sathi Bichartay Hain..
Tu Kitna Dard Milta Hai..
K Har Furqat K Mousam Main..
Hazaron Ghum Ubhartay Hain..
Hazaron Zakhm Khiltay Hain..

Suno Larki...!!
Meri Mano..

Parhai Par Tawajo Do..
Kitaabon Main Gulabon Ko..
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna..
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi..
Yeh Kaanton Ki Tarhan Dil Main..
Chubhain Gay Khoon Bahayein Gay..
Tumhain Pehroon Satayein Gay..
Kisi Ko Khat Nahin Likhna..
Likhai Pakri Jati Hai..
Bari Ruswai Hoti Hai..
Kisi Ko Phone Mat Karna..
Sadayein Dil Dukhati Hain..
Woh Awazain Satati Hain..
Meri Nazmain Nahin Parhna..
Yeh Mehshar Utha Dein Gi..
Tumhain Pagal Bana Dein Gi..

Suno Larki..!!!

Meri Mano..

Apni Taqdeer Say Tum..
Khul K Mat Larna..
Abhi Guriya Se Khailo Tum..
Abhi Tum Ishq Mat Karna.. !!

mila na gaya
Posted On 18/11/2007 20:01:40
Tumse milkar kisi se mila na gaya
Is jahan mai koi tumsa nahi to kya karun

Tamam raat taare ginti hain aankhein
In mai neend na samaye to kya karun??

Har ghari sunta hoon tere kadmon ki aahat
Palat kar dekhne par kuch na paoon to kya karun?

Voh sangdil gairon par karam karta hai
fir bhi uspar hi pyar aaye to kya karun

Aankhon ki nami ko chupa ker jeene ki aadat hai hume
Sawan mai barish sang ashq bah gaye to kya karun?:s

Kab tak sahna hoga aey khuda jeene ka gum?????
Na unki khabar aai, na jaan jaye to kya karun :'(

Tum ko yaad hai
Posted On 18/11/2007 20:01:35
tum Ko Yaad Hai

Aik Shab Tum Ne Kaha Tha

"Akash" Main Aap Ko Kuch De Nahi Paye

Aur Main Hans Dia Tha

Per Aaj Agar Ho Sake Tu Suno

Tum Ne Kia Kuch Dia Hai Mujhe

Tum Se Judai Ka Dukh

Tumhare Pyar Se Mehroomi Ka Dukh

Tumhari Awaz Kabhi Na Sunnay Ka Dukh
Tumhara Us Mulaqat Ko Khud Se Akhri Mulaqat Karne Ka Dukh

Tumhari Khushioon Se La Taluq Rehne Ka Dukh

Tumhare Gham Kabhi Na Batnay Ka Dukh

Meri Aknhoon Main Her Waqt Nami Rehne Ka Dukh

Magar Meri Jaan

Main Ne Tumhari Taraf Se Di Hoye Aik Aik Shay ka

Jab Bhi Apne Upar Bojh Mehsoos Kia

Yaqeen Janu s:s

Khuda Kay Hazoor Girgira Kar

Main Ne Sirf Tumhari Khushiaan Maang Dali Hain..

Ajeeb larka hoon
Posted On 18/11/2007 19:58:13

Ajeeb larka hoon khud ko jalana chahta hoon.
Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahta hoon.

Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko?????
Bas ab to umer bher aansoo bhana chahta hoon:s

Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe
Koi bhee dard ho dil mai chupana chahta hoon

Baha baha k ye aasnoo bikhar chuka hoon bohat
Simat k zaat mai ab muskurana chahta hoon

Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai
Wo raaz aaj mai sab ko batana chahta hoon

Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baqi saaray sitam bhool jana chahta hoon

Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager
Mai eik larka hoon sab ko batana chahta hoon

Jo mujh se rooth chuke hain zamanay ki khushiyaan
To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahta hoon

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahta hoon:'(:'(

Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai...
Posted On 18/11/2007 19:56:41
Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai...

MAin ney kaha sitaron ka koi shumar nahin

Us ney kaha k kon tumhin hai bohat aziz ?

MAin ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai

Us ney kaha Kon sa Tofah tumhin main doon

MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai

Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz...

Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai......

Us ney kaha senkron gham zindagi main hain

Main ney kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai

Us ney kaha saath kahan tak nibhaon gi...???

Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai......

Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah

Main ney kaha, naam mera aetbaar hai....!!!

musafir to bicharte hain
Posted On 18/11/2007 19:55:47
Musafir To Bicharte hain
Rafakat Kab Badalti Hai

Mohabbat Zinda Rehti Hai
Mohabbat Kab Badalti Hai

Tumhi Ko Chahty Hian Hum
Tumhi Se Pyaar Karte Hain

Yehi Berso Ki Aadat Hai
Aur Aadat Kab Badalti Hai

Tumhain Jo Yaad Rakha Hai
Yehi Apni Ibadat Hai

Ibadat Karnay waloo Ke
Ibadat Kab Badalti Hai

Kali Ka Phool Banna Aur Bikhar
Jaana Mukader Hai

Yehi Qanoon-e-fitrat Hai
So Fitrat Kab BadaltI Hai

Jo Dil Pai Naksh Ho Jaye
Nigaho Main Simat Aaye

Alamaat Hai Yea Chahhat Ke
To Chahhat Kab Badalte Hai

khayal
Posted On 18/11/2007 19:53:22
Khayal

Jo Khayal ban k main kabhi tayray Khayl main Aa Sakoon.
To yea Jan layna Chara Gar yea Inteha ay Khyaal Hay....

NA Dil jalay na Dhuwan Uthay Yea Aag youn Lagana Tum.....
NA Bujha Sakoon na Barha Sakoon K yea Kamal-e-Hum Khyal Hay..

Aay Imam Sotchta hay Kuon yea to Bas NAseeb ki baat hay
Jo kabhi chala tha aik Saya sath Woh Mahaaz ab khyaal
hay..

HOTY HAIN KUCH ANSO AISAY BHI JO BEHtay NAHI
Posted On 18/11/2007 19:48:54
HOTY HAIN KUCH ANSO AISAY BHI JO BEHtay NAHI

Kiya Hua Mujh Main Ager Jurrat Izhaar Nahy
App Nazaroo Ki Zabaan Bhi To Samjhtay Houn Ge


Mujh Ko Maloom Nahy Husan Ki Tareef, Mager
Mere Nazaro Main Haseen Wo hai Jo Tujh Sa Hai


Bhula Diya Mujhay Zalim Nai Aadataan bhi mager
Wo Baat Jiss Se K Yaad Aao Mujh Mian Thi Bhi Nahy


Bas Itny Daad Dena Bad Mere , Mere Ulfat Ko
K Yaad Aaoo To Apnay Aap Ko Tum Pyar Ker Laina


Duniya Nai Baishumaar Adam Ko Diye hian Ghum
Aey Dost Cheez To Bhi Koi Yaadgar De


Charagh-e-Zindagy ko Ek Jhoonkay Ki Zaroorat Hai
Tumhain Mere Qasam Hai Phir Zara Daman Ko Lehrana



<< First  < Previous | Page:  1 | 2 | 3 | 4 | 5 | Next >  Last >>