|
kisi k liye
Posted On: 18/11/2007 20:09:28
|
Meray luboun pey sajji hai Dua kisi key Liye Meray Khuda mujhe hansna sikha kisi key Liye
Mujhe yaqeen hai yeh mujh sey na hoo sakey ga magar..... Main ker raha houn kisi sey wafa kisi key Liye
Nahin milounga agar khho diya tou ney tu.... Na apney haath sey ganwa mujhe kisi key Liye
Meray janoon ko tu yeh baat bhi gawara hai Meray Liye na sahi phir bhi Aaa kisi key Liye
Mein saath saath houn uss key baadbaan ki tarah Meray Khuda meri saansein barha kisi key liye......
|