Welcome Guest Login or Signup

aneela
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


RSS
Tum ko yaad hai
Posted On: 18/11/2007 20:01:35
tum Ko Yaad Hai

Aik Shab Tum Ne Kaha Tha

"Akash" Main Aap Ko Kuch De Nahi Paye

Aur Main Hans Dia Tha

Per Aaj Agar Ho Sake Tu Suno

Tum Ne Kia Kuch Dia Hai Mujhe

Tum Se Judai Ka Dukh

Tumhare Pyar Se Mehroomi Ka Dukh

Tumhari Awaz Kabhi Na Sunnay Ka Dukh
Tumhara Us Mulaqat Ko Khud Se Akhri Mulaqat Karne Ka Dukh

Tumhari Khushioon Se La Taluq Rehne Ka Dukh

Tumhare Gham Kabhi Na Batnay Ka Dukh

Meri Aknhoon Main Her Waqt Nami Rehne Ka Dukh

Magar Meri Jaan

Main Ne Tumhari Taraf Se Di Hoye Aik Aik Shay ka

Jab Bhi Apne Upar Bojh Mehsoos Kia

Yaqeen Janu s:s

Khuda Kay Hazoor Girgira Kar

Main Ne Sirf Tumhari Khushiaan Maang Dali Hain..


Bookmark: