|
musafir to bicharte hain
Posted On: 18/11/2007 19:55:47
|
Musafir To Bicharte hain Rafakat Kab Badalti Hai
Mohabbat Zinda Rehti Hai Mohabbat Kab Badalti Hai
Tumhi Ko Chahty Hian Hum Tumhi Se Pyaar Karte Hain
Yehi Berso Ki Aadat Hai Aur Aadat Kab Badalti Hai
Tumhain Jo Yaad Rakha Hai Yehi Apni Ibadat Hai
Ibadat Karnay waloo Ke Ibadat Kab Badalti Hai
Kali Ka Phool Banna Aur Bikhar Jaana Mukader Hai
Yehi Qanoon-e-fitrat Hai So Fitrat Kab BadaltI Hai
Jo Dil Pai Naksh Ho Jaye Nigaho Main Simat Aaye
Alamaat Hai Yea Chahhat Ke To Chahhat Kab Badalte Hai
|