|
|
mila na gaya
Posted On: 18/11/2007 20:01:40
|
Tumse milkar kisi se mila na gaya Is jahan mai koi tumsa nahi to kya karun
Tamam raat taare ginti hain aankhein In mai neend na samaye to kya karun??
Har ghari sunta hoon tere kadmon ki aahat Palat kar dekhne par kuch na paoon to kya karun?
Voh sangdil gairon par karam karta hai fir bhi uspar hi pyar aaye to kya karun
Aankhon ki nami ko chupa ker jeene ki aadat hai hume Sawan mai barish sang ashq bah gaye to kya karun?:s
Kab tak sahna hoga aey khuda jeene ka gum????? Na unki khabar aai, na jaan jaye to kya karun :'(
|