|
Ajeeb larka hoon
Posted On: 18/11/2007 19:58:13
|
Ajeeb larka hoon khud ko jalana chahta hoon. Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahta hoon.
Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko????? Bas ab to umer bher aansoo bhana chahta hoon:s
Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe Koi bhee dard ho dil mai chupana chahta hoon
Baha baha k ye aasnoo bikhar chuka hoon bohat Simat k zaat mai ab muskurana chahta hoon
Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai Wo raaz aaj mai sab ko batana chahta hoon
Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne Baqi saaray sitam bhool jana chahta hoon
Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager Mai eik larka hoon sab ko batana chahta hoon
Jo mujh se rooth chuke hain zamanay ki khushiyaan To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahta hoon
Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahta hoon:'(:'(
|