|
|
Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay
Posted On: 21/11/2007 08:51:55
|
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay
Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay
Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay
Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay
Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel Wo Chaand Aaj Bhi Mohsin Ko Kam Numa Sa Lagay --
|