|
|
PALKEIN BHEEG GAEIN !
Posted On: 18/11/2007 20:32:28
|
PALKEIN BHEEG GAEIN !
Aa tehri jab barsaat, tu palkain bheeg gaien Roee jab bhi raat, tu palkein bheeg gaein
Aankhoon ko jab, gehri kaali barkha ki Sonp gya soghaat, tu palkein bheeg gaein
Apnay bhi jab chor kay wapas paltay thay Thaama us nay haath tu palkein bheeg gaein
Yu'n tu har nuqsaan pay haavi zabt raha Bikher gai jab zaat, tu palkein bheeg gaein
Phelay tu aankhoon main hairat tehri thi Smajh main aai baat, tu palkein bheeg gaein
Baat bichernay per hi khatam nahi hoti Chala jo koi saath, tu palkein bheeg gaein
Har ilzaam ko sehnay ka koi ehad tu tha Aur chiri jab baat, tu palkein bheeg gaein...!!!
|