Welcome Guest Login or Signup

Sahiil
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


Viewing 1 - 9 out of 12 Blogs.


Page:  1 | 2 | Next >  Last >>


Mujhay Iss Zindgani Se Koi Shikwa Nahi Lekin
Posted On 18/04/2008 19:47:20
Mujhay Iss Zindgani Se Koi Shikwa Nahi Lekin
Zara Si Be Sakooni Hay
Na Janay Kiun Mery Dil Mein
Ajab Ik Khauf Rehta Hay
Mujhay Mehsoos Hota Hay
K Mery Dil K Darwazey Pe
Teri Yaad Ki Dastak Mein Vo Shiddat Nahi Baqi
Bohat Si Khas Baatein Hain
Jo Mujh Ko Aam Lagti Hain
Mery Dil Mein Unhein Sun Kar Koi Toofan Nahi Uthta
Teri Aankhein,Tera Chehra
Teri Awaaz Ki Rimjhim
Sabhi Kuch Khuwab Lagta Hay
Mujhay Mehsoos Hota Hay
Sunehrii Titliyoon Jaisy
Vo Sab Khush Rung Se Sapney
Mery Lafzoon K Pholoon Par
Bohat Din Se Nahi Baithy
Mujhay Mehsoos Hota Hay
Samay Ki Tez Lehron Ne
Hamary Rait K Kachay Gharonday Torr Dalay Hain
Mujhay Un Tez Lehron Se
Sunehrii Titlion Jaisy
Sabhi Khush Rung Sapnoon Se
Koi Shikwa Nahi Lekin
Zara Si Be Sakooni Hay
Mujhay Mehsoos Hota Hay
Tumharay Dil K Darwazey Pe Meri Yaad Ki Dastak
Meri Jaan Ab Nahi Hoti
Meri Jaan Ab Nahi Hota
K Meri Yaad Aye To
Tumhari Aankh Bhar Aaye
Duaein Mangtey Lamhay
Mujhay Tum Bhool Jati Ho
Magar Phir B Mujhay Tum Se
Koi Shikwa Nahi Lekin
Ajab Si Be Sakooni Hay
Ajab Ik Khauf Hay Dil Mein

Main Tum Ko Bhool Jaon Ga…!!!

Koii Baat Nahii............
Posted On 06/04/2008 17:46:58

Yehi Wafa ka sila hay, to koi baat nahi
Ye dard tumne diya hay, to koi baat nahi


Yehi bohat hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hay, to koi baat nahi


Rakha tha aashiyana-e-dil main chupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hay to koi baat nahi


Tum hi ne aayena-e-dil mayra banaya tha
Tum hi ne tor diya hay to koi baat nahi


Kisay majaal kahay koi mujhko deewana
Agar ye tumne kaha hay to koi baat nahi


Chand Ki Matti..........
Posted On 01/04/2008 17:50:26

Chalo..
Tum..
Aisa..
karo ..
Chand ..
Se ..
Thori si..
Matti lao..


Phir..
Us se..
2 Butt ...
Banao..


Ek..
Tum Jaisa...
Ek...
Mujh Jaisa..


Phir...
Kuch...
Aisa Karo..
In Butto KO Tordo..


Phir...
Usi..
Mitti ko Goondh Lo...
Phir...
Se ...
Iss ...
Ke ...


2 Butt Banao..


Tum Mein...
Kuch
Kuch
Mein Reh Jao..


Mujh Mein
Kuch
Kuch
Tum Reh Jao !!!


Mujhay Aksar Yeh Kehti Thi.......
Posted On 28/03/2008 16:09:39
Mujhay aksar yeh kehti thi mohabat kuch nahi hoti...

hijr ka khof be matlab, wasal ke khawab be maaini...

koi soorat nigahon main kahan din raat rehti hai...

ussay kiyun khamoshi kahiye ke jis main baat rehti hai...

ye aansoo be zubaan aansoo bhalla kia bol saktay hain...

kahan dil main kissi ki yaad say toofaan uthtay hain..

kahan palkon ke saye main nammi din raat rehti hai..

kahan hoti hain woh aankhain jahan barsaat rehti hai..

mujhay aksar yeh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti..

magar jub aaj barson baad main nay usko daikha hai...

ke uski jheel aankhon main hijr ka khof rehta hai ...

wasal ke khawab rehtay hain wahan barsaat rehti hai...

youn lagta hai kayee raaton say woh soyee nahi shayad

youn lagta hai kissi ki yaad ab din raat rehti hai...

aur uski naram palkon ke haseen saye bhi geelay hain...

aur uski khamoshi aisi keh jis main baat rehti hai...

mujhay ab woh nahin kahti mohabat kuch nahi hoti...

ke ab shayad mohabat ki woh sub rimzain samajhti hai....

Bas Tumhe Yaad Rakha Hey..........
Posted On 25/03/2008 05:34:00
Zindagi, Zakham, Sahara Or Tum
Tum, Waffa, Khuwab, Pareshani, Firaq



Yaad, Majboori, Or Tum



Bhook, FutPaath, Sarak, Kache Raste
Is Qadar Lafz Kese Yaad Rahian
Bas Tumhe Yaad Rakha Hey Dil Ne.

Hum jo toote to is tarah toote
Posted On 18/03/2008 10:13:15
Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot'ta aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na-gahaan toote
jaise aankhon main khawab ki doori
waqt-e-takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kiya
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair mein dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

CHOORIAN........
Posted On 17/03/2008 18:05:15
"Suniye..."

Apni Khubsurat Kalayi Mein

Barey Chao Se

Choorian Ghumatey Hoye Uss Ne Kaha

Yeh Choorian Dekhiye

Kaisi Hain ?

Aap Ko Pasand Hain ?

Yeh Aap Ke Naam Ki Hain

Hum Ne Aap Ki Taraf Se Li Hain

Aap Hamary Ho Na ?

Ho Na ? Aap Hamary...

Iss Se Pehlay Ke Wo

Meri Aankh Mein Chamaktay Aansoo Dekhti

Jaldi Se Main Ne Kaha

Han Bohat Khubsurat Hain Yeh Choorian

Tumhari Kalayii Mein Khoob Saj Rahi Hain

Mery Naam Ki DaweyDaar

Wo Pyarii Masoom Larki

Khushi Se Muskura Di

Aur Bhool Gayi

Apney Sawal Ka Jawab...!!!

Ret Par Likh Ke Meraa Naam MiTaayaa Na Karo
Posted On 17/03/2008 12:37:43
Ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
Aankhe.n sach bolati hai.n pyaar chupaya na karo

Log har baat kaa afsaana banaa lete hai.n
Sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo


Ye zaruurii nahii.n har shaKhs masiihaa hii ho
Pyaar ke zaKhm amaanat hai.n dikhaayaa na karo

Shehr-e-ehasaas me.n pathar bahut hai.n "S....."
Dil ko shiishe ke jharo.nko.n me.n sajaayaa na karo

SHIDATAIIN...........
Posted On 17/03/2008 09:05:57
Betahasha hai tujhe yaad kia....
Aor bhulaya bhi buhat hai tujh ko...
Sari ronak hi tere dam se hai....
Aor tere bikhre hue ghum se hai....
Jis kadar mein ne taluk tera mehsos kia...
Itni gehrai tu rohon mein hua kerti hai...
Jis kadar mein ne teri zat ko khud mein paya...
Itni yaktai kahan milti hai......
Fasle wokatain kho bethee.......
Doorian pheki parain......
Itni shidat se tujhe socha hai...
Itni shidat se tujhe chaha hai.....
Shidatain ISHQ ki meraj hua kerti hain.......



Page:  1 | 2 | Next >  Last >>