|
Ret Par Likh Ke Meraa Naam MiTaayaa Na Karo
Posted On: 17/03/2008 12:37:43
|
Ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
Aankhe.n sach bolati hai.n pyaar chupaya na karo
Log har baat kaa afsaana banaa lete hai.n
Sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo
Ye zaruurii nahii.n har shaKhs masiihaa hii ho
Pyaar ke zaKhm amaanat hai.n dikhaayaa na karo
Shehr-e-ehasaas me.n pathar bahut hai.n "S....."
Dil ko shiishe ke jharo.nko.n me.n sajaayaa na karo
|