|
Viewing 10 - 12 out of 12 Blogs.
| Page:
|
2 |
Pathar bana diya mujhe rone nahi diya.. Daaman bhi tere gham ne bhigone nahi diya...
Tanhaiaan tumhara pata pochti rahin.. Shab bar tumhari yaad ne sone nahi diya.. Daaman bhi tere gham ne bhigone nahi diya...
Aankhon mein aa beth gaye ashkoon ki lahar.. Palkoon pe koi khwaab pirone nahi diya.. Daaman bhi tere gham ne bhigone nahi diya..
Dil ko tumhare naam ke aanso aziz the.. Duniya ko koi dard samonay nahi diya.. Daaman bhi tere gham se bhigone nahi diya..
Yun uski yaad chali haath thaam ke.. Mele mein is jahan ke Khone nahi diya.. Daaman bhi tere gham se bhigone nahi diya..
Pathar bana diya mujhe rone nahi diya.. Daaman bhi tere gham se bhigone nahi diya..
Koi tum se poche "Kon Hoon Mein"..
Tum keh dena..Koi Khas Nahi..
Ik dost hai kacha paka sa..
Ik jhoot hai aadha sacha sa..
Jazbat ko dhanpey ik parda...
Bas aik bahana acha sa...
Jevan ka aik sathi hai...
Jo dour buhat hai pass nahi...
Koi tum se poche "Kon Hoon Mein"..
Tum keh dena..Koi Khas Nahi...
Ab Ke Saal Kuch Aisa Karna
Apney pichlay 12 mah ke Dukh sukh ka andaza karna Bisri yaadein taza karna
Saadah sa ik kagaz le kar Bhooley bisrey pal likh lena Apney saarey kal likh lena
Sarey dost ikhatey karna Sari subhain hazir rakhna Sari shaamain paas bulana
Aur iillawah in ke dekho Sarey mousam dehaan mein rakhna Ik ik yaad gumaan mein rakhna
Phir mohtaat qayaas lagana Gar to khushian barh jati hain To phir tum ko meri taraf se Aney wala "SAAL MUBARAK"
Aur agar ghum barh jain to Mat bekaar takalluf karna Dekho phir tum aisa karna
Meri khushian tum le lena Mujh ko apney ghum de dena Ab ke saal kuch aisa karna
| Page:
|
2 |
|