Welcome Guest Login or Signup

Sahiil
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


RSS
Koii Baat Nahii............
Posted On: 06/04/2008 17:46:58

Yehi Wafa ka sila hay, to koi baat nahi
Ye dard tumne diya hay, to koi baat nahi


Yehi bohat hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hay, to koi baat nahi


Rakha tha aashiyana-e-dil main chupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hay to koi baat nahi


Tum hi ne aayena-e-dil mayra banaya tha
Tum hi ne tor diya hay to koi baat nahi


Kisay majaal kahay koi mujhko deewana
Agar ye tumne kaha hay to koi baat nahi



Bookmark: