Welcome Guest Login or Signup

Sahiil
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


RSS
Ab Ke Saal Kuch Aisa Karna
Posted On: 16/03/2008 17:37:54

Ab Ke Saal Kuch Aisa Karna


Apney pichlay 12 mah ke
Dukh sukh ka andaza karna
Bisri yaadein taza karna


Saadah sa ik kagaz le kar
Bhooley bisrey pal likh lena
Apney saarey kal likh lena


Sarey dost ikhatey karna
Sari subhain hazir rakhna
Sari shaamain paas bulana


Aur iillawah in ke dekho
Sarey mousam dehaan mein rakhna
Ik ik yaad gumaan mein rakhna



Phir mohtaat qayaas lagana
Gar to khushian barh jati hain
To phir tum ko meri taraf se
Aney wala  "SAAL MUBARAK"



Aur agar ghum barh jain to
Mat bekaar takalluf karna
Dekho phir tum aisa karna



Meri khushian tum le lena
Mujh ko apney ghum de dena
Ab ke saal kuch aisa karna



Bookmark:



Viewing 1 - 1 out of 1 Comments

16/03/2008 17:55:18
Meri khushian tum le lena
Mujh ko apney ghum de dena



SCRAPBOOK