Pathar bana diya mujhe rone nahi diya..
Daaman bhi tere gham ne bhigone nahi diya...
Tanhaiaan tumhara pata pochti rahin..
Shab bar tumhari yaad ne sone nahi diya..
Daaman bhi tere gham ne bhigone nahi diya...
Aankhon mein aa beth gaye ashkoon ki lahar..
Palkoon pe koi khwaab pirone nahi diya..
Daaman bhi tere gham ne bhigone nahi diya..
Dil ko tumhare naam ke aanso aziz the..
Duniya ko koi dard samonay nahi diya..
Daaman bhi tere gham se bhigone nahi diya..
Yun uski yaad chali haath thaam ke..
Mele mein is jahan ke Khone nahi diya..
Daaman bhi tere gham se bhigone nahi diya..
Pathar bana diya mujhe rone nahi diya..
Daaman bhi tere gham se bhigone nahi diya..