|
Viewing 1 - 9 out of 12 Blogs.
Page:
1 |
|
Mujhay Iss Zindgani Se Koi Shikwa Nahi Lekin Zara Si Be Sakooni Hay Na Janay Kiun Mery Dil Mein Ajab Ik Khauf Rehta Hay Mujhay Mehsoos Hota Hay K Mery Dil K Darwazey Pe Teri Yaad Ki Dastak Mein Vo Shiddat Nahi Baqi Bohat Si Khas Baatein Hain Jo Mujh Ko Aam Lagti Hain Mery Dil Mein Unhein Sun Kar Koi Toofan Nahi Uthta Teri Aankhein,Tera Chehra Teri Awaaz Ki Rimjhim Sabhi Kuch Khuwab Lagta Hay Mujhay Mehsoos Hota Hay Sunehrii Titliyoon Jaisy Vo Sab Khush Rung Se Sapney Mery Lafzoon K Pholoon Par Bohat Din Se Nahi Baithy Mujhay Mehsoos Hota Hay Samay Ki Tez Lehron Ne Hamary Rait K Kachay Gharonday Torr Dalay Hain Mujhay Un Tez Lehron Se Sunehrii Titlion Jaisy Sabhi Khush Rung Sapnoon Se Koi Shikwa Nahi Lekin Zara Si Be Sakooni Hay Mujhay Mehsoos Hota Hay Tumharay Dil K Darwazey Pe Meri Yaad Ki Dastak Meri Jaan Ab Nahi Hoti Meri Jaan Ab Nahi Hota K Meri Yaad Aye To Tumhari Aankh Bhar Aaye Duaein Mangtey Lamhay Mujhay Tum Bhool Jati Ho Magar Phir B Mujhay Tum Se Koi Shikwa Nahi Lekin Ajab Si Be Sakooni Hay Ajab Ik Khauf Hay Dil Mein
Main Tum Ko Bhool Jaon Ga…!!!
Yehi Wafa ka sila hay, to koi baat nahi Ye dard tumne diya hay, to koi baat nahi
Yehi bohat hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hay, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main chupa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hay to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mayra banaya tha Tum hi ne tor diya hay to koi baat nahi
Kisay majaal kahay koi mujhko deewana Agar ye tumne kaha hay to koi baat nahi
Chalo.. Tum.. Aisa.. karo .. Chand .. Se .. Thori si.. Matti lao..
Phir.. Us se.. 2 Butt ... Banao..
Ek.. Tum Jaisa... Ek... Mujh Jaisa..
Phir... Kuch... Aisa Karo.. In Butto KO Tordo..
Phir... Usi.. Mitti ko Goondh Lo... Phir... Se ... Iss ... Ke ...
2 Butt Banao..
Tum Mein... Kuch Kuch Mein Reh Jao..
Mujh Mein Kuch Kuch Tum Reh Jao !!!
Mujhay aksar yeh kehti thi mohabat kuch nahi hoti...
hijr ka khof be matlab, wasal ke khawab be maaini...
koi soorat nigahon main kahan din raat rehti hai...
ussay kiyun khamoshi kahiye ke jis main baat rehti hai...
ye aansoo be zubaan aansoo bhalla kia bol saktay hain...
kahan dil main kissi ki yaad say toofaan uthtay hain..
kahan palkon ke saye main nammi din raat rehti hai..
kahan hoti hain woh aankhain jahan barsaat rehti hai..
mujhay aksar yeh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti..
magar jub aaj barson baad main nay usko daikha hai...
ke uski jheel aankhon main hijr ka khof rehta hai ...
wasal ke khawab rehtay hain wahan barsaat rehti hai...
youn lagta hai kayee raaton say woh soyee nahi shayad
youn lagta hai kissi ki yaad ab din raat rehti hai...
aur uski naram palkon ke haseen saye bhi geelay hain...
aur uski khamoshi aisi keh jis main baat rehti hai...
mujhay ab woh nahin kahti mohabat kuch nahi hoti...
ke ab shayad mohabat ki woh sub rimzain samajhti hai....
Zindagi, Zakham, Sahara Or Tum
Tum, Waffa, Khuwab, Pareshani, Firaq
Yaad, Majboori, Or Tum
Bhook, FutPaath, Sarak, Kache Raste
Is Qadar Lafz Kese Yaad Rahian
Bas Tumhe Yaad Rakha Hey Dil Ne.
Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot'ta aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na-gahaan toote
jaise aankhon main khawab ki doori
waqt-e-takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kiya
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair mein dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote
"Suniye..."
Apni Khubsurat Kalayi Mein
Barey Chao Se
Choorian Ghumatey Hoye Uss Ne Kaha
Yeh Choorian Dekhiye
Kaisi Hain ?
Aap Ko Pasand Hain ?
Yeh Aap Ke Naam Ki Hain
Hum Ne Aap Ki Taraf Se Li Hain
Aap Hamary Ho Na ?
Ho Na ? Aap Hamary...
Iss Se Pehlay Ke Wo
Meri Aankh Mein Chamaktay Aansoo Dekhti
Jaldi Se Main Ne Kaha
Han Bohat Khubsurat Hain Yeh Choorian
Tumhari Kalayii Mein Khoob Saj Rahi Hain
Mery Naam Ki DaweyDaar
Wo Pyarii Masoom Larki
Khushi Se Muskura Di
Aur Bhool Gayi
Apney Sawal Ka Jawab...!!!
Ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
Aankhe.n sach bolati hai.n pyaar chupaya na karo
Log har baat kaa afsaana banaa lete hai.n
Sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo
Ye zaruurii nahii.n har shaKhs masiihaa hii ho
Pyaar ke zaKhm amaanat hai.n dikhaayaa na karo
Shehr-e-ehasaas me.n pathar bahut hai.n "S....."
Dil ko shiishe ke jharo.nko.n me.n sajaayaa na karo
Betahasha hai tujhe yaad kia....
Aor bhulaya bhi buhat hai tujh ko...
Sari ronak hi tere dam se hai....
Aor tere bikhre hue ghum se hai....
Jis kadar mein ne taluk tera mehsos kia...
Itni gehrai tu rohon mein hua kerti hai...
Jis kadar mein ne teri zat ko khud mein paya...
Itni yaktai kahan milti hai......
Fasle wokatain kho bethee.......
Doorian pheki parain......
Itni shidat se tujhe socha hai...
Itni shidat se tujhe chaha hai.....
Shidatain ISHQ ki meraj hua kerti hain.......
Page:
1 |
|
|