| Total Views: 2071 - Total Replies: 35 |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:59:06 |
|
Ek gulab tha
Bara odas tha Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa Shabnam k ansoo rawan thay us k Dil tha us ka kuch bujha bujha sa Bahar ka tha mosam phir bhi na khila tha Dali say tha who apni kuch jhuka jhuka sa Main nay ju dekha usay Pass ja k pocha us say Kyon ha odas to? Kyon kerta ha dil barbad to? Kis ko kerta ha yad to? Yeh sun ker who ronay laga Shabnam k ansoo say moon dhonay laga Or rotay rotay bas yeh kehnay laga Mera yar mugh ko chor gaya hai Mera pyar mugh say moon mor gaya hai Ab main kis k liyay khil jaoon Ab main kis k liyay khushboo mahkaoon Mujhe kon apnay dil say lagaie ga Mujh ko kon apni sansoon may basay ga Mera chaman ojar gaya hai Mera yar mujh say bichar gaya hai Bas ab to her lamhay us ki yad hai Bas baqarari hai, tarap hai faryad hai Mujh ko koe meray yar say mila dai Mujh ko koe mera pyar lota dai Woh ayey ga tu khil jaoon ga maiN Apni zindagi say mil jaoon ga main
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:59:26 |
|
wo koi aur na they chand Khushk patte they shajar se toot ke jo fasl-e-gul per roye they
abhi abhi tumhein socha to kuch na yaad ayaa abhi abhi to ham aik-doosrey sey bicharey they
tumhary baad chaman par jab aik nazar Dali kali kali main Khizaan ke chiraagh jalate they
tamaam umer wafaa key gunaahgar rahey ye aur baat key ham aadami to achchey they
shab-e-Khamosh ko tanhai ney zaban dey di pahar gunjtey they dasht san sanatey they
wo aik baar marey jin ko thaa hayaat sey piyaar jo zindagi sey guraizaan they roz maratey they
naye Khayaal ab aatey hain dhal ke zahan main hamarey dil main kabhi khait lah_lahate they
ye iratiqa kaa chalan hai ki har zamane main puraaney log naye aadami sey daratey they
"rehan" jo bhii mulaqat thi adhoori thi kai aik cheharey key peecheye hazaar cheharey they
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:59:51 |
|
Zindagi Main Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahi Tamashaei Hai Yeh Duniya Is Ke Siwa Kuch Nahi Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kya Hai Zindagi Hai ek Khuwaab Is Ke Siva Kuch Nahi Khushiyan Hain Lakhon Is Duniya Main Magar Udasi Hai Mere Dil Main Is Ke Siva Kuch Nahi Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar In k Dilon Main Hai Nafrat Ke Siva Kuch Nahi Wade,Karte Hai Log Magar Jante Nahi Wafa Karna Bewafai Hey Is Duniya Main Is Ke Siva Kuch Nahi Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya Yeh Khel Hey Duniya Ka Is Ke Siva Kuch Nahi Tum Ko Chaha Hey Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke Duniya To Hai Ek Sarab Is Ke Siva Kuch Nahi
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 19:00:21 |
|
Socha nahi acha bura Dekha suna kuch bhi nahi Manga khuda say har waqt Teray siwa Kuch bhi nahi !
Dekha tujhey chaha tujhey Socha tujhey pooja tujhey Meri wafa meri khata Tere khata kuch bhi nahi !
Jis par hamari aankh nay Moti bichayey raat bhar Bhaija wahi kaghaz usay Ham nay likha Kuch bhi nahi !
Aur aik sham ki dehleez par Baithay rahay woh dair tak Aankhon say ki batain buhat Munh say kaha kuch bhi nahi !
Do chaar din ki baat hay Dil khak main mil jaye ga Aag per jab kaghaz rakha Baqii bacha Kuch bhi nahi... !!!
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 19:00:44 |
|
Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Men Jaga Di Thi Khawabon Ki Duniya Apni Us Sey Hi Saja Di Thi
Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bahut Barh Kar Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi
Maloom Nahi Tha Hum Ko Wo Bewafa Bhi Hoga Us Per Bharosa Karky Khud KO Hi Saza Di Thi
Socha Tha Sath Mill Kay Katein Gey Zindagi Ko Us Ne To eik Pal Main Har Bat Bhula Di Thi
Kaisa Sitam Hey Dekho Wo Kab Sey Juda Ha Mujh Sey Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi
Kia Tha Us Per Bharosa Kiun Had Sey Bhadh Kar Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi...!!!
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 19:01:09 |
|
" Teri Masoom See Hansi " Shaam key dhaltay andhairoon main Thakki thakki see fiza key lamhoon main Holay holay ubhartay chaand key gird Chamakti chandni ban kar Aksar.. Tera chehra nigahoon key roobaroo aata hai Aur phir aisay main bohat paas kahin Teri masoom see hansi sunai daiti hai Kanoon main gounj uthti hai Jal tarang jaisay Khill uthta hai Har manzar jaisay Mehak uthti hai thakki see fiza Holay holay chalnay lagti hai Tandd-o-taiz hawa Jab teri khushbu lay aata hai koi bhatakta jhounka Uffak key paar chamakta hua chand Kisi key khayal say sharma key simmat jata hai Kisi awara badal ki aarh main chup jata hai Main aankhain mounday huay Door khayaloon main kahin kho jata hoon Apni zaat say hatt kar main tum ho jata hoon Magar aisay main anjanay kahin say Tanhai apni bharpoor shakti lay kar Shaam key phailtay andhairoon main Ghatta see ban kar chah jati hai Aur phir uss per teri yaad sittam dhaati hai Har guzartay pal mujhay tarpati hai Shadeed qurb key alam main Main bahain kholay huay Main apni khamoosh zubaan say tujhay sadda daita hoon Soochta hoon key tum doori chali aao gi Zindagi bhar ko meri bahoon main simmat jao gi Phir haqeeqat ahsaas ki dehleez per dastak dai kar Mujh per aik sach ayyan karti hai Key Aey Dewanay Tu dasht-e-zeest main ab bhi tanha hai Apnay barhtay qadam rook lay tu acha hai Tu khud ko abhi touk lay tu acha hai Warna... Tu dasht-e-zeest main kahin kho jaye ga Khaak ban jaye ga Hawaoon main bikhar jaye ga Magar kia karoon key meri aik uljhan hai Main apni zaat ka hakim hi nahin Meray wajood per TU qabiz hai Ab meri rooh main TU shamil hai Yeh mera dil TERAY naam per dharakta hai Daikhta hoon tu sirf TUM hi TUM ho Soochta hoon tu sirf TUM hi TUM ho Khud ko kho chuka hoon Magar dilbar meray Main ab tujh ko khona nahin seh paaon ga Tum bin jeenay ka tassawur hi nahin Tum say bichra tu shayad Younhi mar jaon ga...!!!
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 19:01:53 |
|
Tumhain zid hai k main keh doo'n, mujhe zid hai k tum keh do.. mujhe tumse muhabbat hai, kaho, mujh se muhabbat hai!!! Nahi ye jaantey dono'n, muhabbat kab bhala muhtaaj hai lafzon ki, baaton ki, muhabbat to hamaari dharkano'n k saaz main shaamil, sureeley geet ki maanind!! Muhabbat yaad ki devii, jo tanha raat ko aksar utar aati hai aankho'n main... Muhabbat muskuraahat hai, hasee'n naazuk se honto'n main! Muhabbat sandali haatho'n ki naazuk larzishon main hai! Muhabbat soch ki gehraaio'n se phoot'ti khushboo, hamesha saath rehti hai! Muhabbat aankh main palta wo purisraar jazba hai, jisey ab tak nahi koi samajh paaya, na iski koi soorat hai, na iska koi pemaana! Dhakey alfaaz main iska bohat izhaar hota hai, kuch esey hi k jese ab..... teh-e-dil se to hum dono'n, bohat iqraar kertey hain, magar phir bhi na jaaney Q? Tumhain zid hai k main keh doon, mujhey zid hai k tum keh do... Mujhe tum se muhabbat hai!!! Kaho, mujh se muhabbat hai!!!
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 19:02:17 |
|
Tum ney samja he nahi mari chahat ko kabi Tum ney chaha he nahi mari muhabat ko kabi
Sochta hoon mian jaan leeta tumhey Main ney perkha nahi tari fittrat ko kabi
Mana ik umar kati yadoon main chaltey hoey Wo marasam na rahey rahoon pe chaltey hoey
Ab hey tanhaian aor perchaian baki Ho gey ham sey juda wo hamsafar marey sathi
Sochta hoon ke main jaan leeta tumhey Main ney jana hee nahi tari hasrat ko kabi
Ye safar piyar ka tanha kat"ta hee nahi Koi bee per hoo dil machalta hee nahi
Tum ko maloom hey tum dulruba hamarey they Piyar ke rahoon main tum hamsafar hamarey they
Sochta hoon ke main jaan leeta tumhain Main ney socha hee nahi tari ulfat ko kabi
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
|