Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

<< First  < Previous | Page:  1 | 2 | 3 | 4 | Next >  Last >>
Total Views: 2069 - Total Replies: 35




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:49:28




MENE CHAHA USAY BHOOL JAON
mene chaha usay bhool jaon .......
faramosh kardon wo sub,roz o shab!!
usko dekhon to youn kay jesay wakif hi nahin
mein bhi us ki tarah ab kisi ro ko saath lay kar chaloon
har ghari khush rahoon .....,muskurata phiron
bewajah,besabab!!
jab hawa kay qadam misl-e-maynosh bedhab se parnay lagein
chandni khirkiuon se pukaray
nigahein chamaknein lagein
aahatein kaan mein sabz sargoshiyan karkay chalnein lagein
dast-e-mosam kay aaejaz se perhan zard patay badalnay lagein
bakht e khwabeeda gul aankh malnay lagein
kaash youn ho kay tab.............
usko dekhon to wo ajnabi sa lagay
uski aahat pe khwahish kay koi gul na khilein
wo pukaray agar...uski awaz pe kaan tak na dharoon
ehd-e-rafta ki har yaad ko bhool kar
anay wali ruton ka swagat karoon
uskay chehray ko ..,chehron kay anboah mein...
...is tarah gum kardoon...
kay phir wo ankhein rahein,na wo gaisoo..na wo lub..
mene chaha usay bhool jaon
faramosh kardon wo sub,
roz-o-shab!!!





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:49:57




BEWAFAII

hamaray darmiyaan aaesa koi rishta nahin tha
teray shanoon pe koi chatt nahin thii
meray zimay koi aangan nahin tha..
koi waada teri zanjeer-pa ban nahin paya
kisi iqrar ne meri kalaii ko nahin thama
hawa-e-dasht ki manind tou azaad tha
raasta teri marzi kay taabay tha...
mujhe bhi apni tanhaii pe dekha jaye to poora tasaruf tha
magar........
jab aaj tou ne
rassta badla hay
tou kuch aesa laga mujh ko
kay jesay tou ne mujh se bewafaii ki !!





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:51:03




chehra badlay tou kirdar badl jata hai ...
chehra badlay tou kirdar badl jata hai
fateh hoti hai tou salar badl jata hai

kya ajb saya hai phela hua bsti pay meri?
ankh b jhakaoon tou bazar badl jata hai

apnay anjaam tuk afsana puchanchta kaisay!
dafatun murkazi kirdar badl jata hai!

jo b kurna hai abhi meray havaly kur do
waqt k sath kharedar badl jata hai

JAZIB ik chehra nazr atta hai deewar mein pur
pass jata hon tou shahkar badl jata hai





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:51:26



tere bin...
Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahin
Ek pal Nahin jab Tumhe Humne Pukaara Nahin
Meri Naakaamiyon Ka Itna Bhi Ghum Na Kijiye
Agar aap Jeete Hain to Main Haara Nahin
Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahin
Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin
Kar Rakhaa Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahin
Kisko Gale Lagaa Ke Rooyen Na-Muraad Hum
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahin
Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab
Gehre Hain Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahin
Wo aa Ke Poonchh Den Aansu Hamari Aankhon se
Itna bhi Hamare Haq Mein Naseeb Hamara Nahin





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:51:45




Dosti khatam nahi husakti
Dosti khatam nahi husakti
Dosti hub-e-khuda huti hai
Dosti dast-e-dua huti hai
Dosti sirf wafa huti hai
Dosti sab sai juda huti hai
Dosti sarai zamanay sai kahan!
Dosti hath milanai sai kahan !
Dosti sirf jatani sai kahan !
ye to rohoun ka milan huti hai
yeh tu khushboey chaman huti hai
apni hi dhun main magan huti hai
yeh tu bas aik lagan huti hai
Dosti mulkoon ki jageeR kahan
sarhadoun main jo batai rehtai hain
sath reh kar bhi katai rehtai hain
Dosti, doostoun kiya huti hai ?
Dosti haq ki ata huti hai
doosti khushboo hawa huti hai
doosti had sai siwa huti hai
Dosti dost agar rakhtai hain
door reh kar bhi khabar rakhtai hain
Dosti jeenai ka hunar rakhtai hain
Dosti chand sitaron ki tarah
Dosti dil kai saharoon ki tarah
Dosti dard kai maroon ki tarah
Dosti jheel kinaroon ki tarah
jo juda ho kar basar kartai hain
umer bhar sath safar kartai hain
Dosti sood-o-ziyaan sai barh kar
Dosti fehm-o-guman sai barh kar
Dosti hai dil-o-jaan sai barh kar
Dosti sarai jahan sai barh kar
door reh kar bhi koi pass rahai
Dosti jeenai ka ehsas lagai
dosti khatam nahi husakti
Dosti khatam bhi kaisai hugi?
Dosti dil ki raza mandi hai
dosti wasf-e-khudawandi hai
woh khuda mera Rab-e-jahan
jis nai alam ko saja rakha hai
woh khudawand akaila hai magar
US NAI BHI DOST BANA RAKHA HAI





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:52:09




Mohabbat mar nahi sakti

Mohabbat Zinda rehti hai



Mohabbat kam nahi hoti

Mohabbat barhti rehti hai



Magar itna yaqeen to ho

Ke tum ko bhi Mohabbat hai



Magar mujh ko yaqeen hai yeh

Ke mujh ko to Mohabbat hai



Agar tum ko nahi to kya

Tumhain bhi ho hi jaye gi



Churao Laakh tum nazrein

Kahin tum jaa nahi sakte



Meri Chahat ki shiddat ko

Yun hi thukra nahi sakte



Nahi tum jaa nahi sakte

Mujhe khud per bharosa hai



Aur Chahat per yaqeen sa hai

Ke tum ko laut aana hai



Meri Chahat ki shiddat

Tumhain bhi khench laayegi



Tumhain bhi ek na ek din

Mohabbat ho hi jaye gi





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:52:35




muhabbat jhoot lagti hay mujhay
muhabbat jhoot lagti hay mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
"mujhay tum say muhabbat hay"
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa jhoot hay jis ka sehr
sadioo'n say tari hay
magar janaa'n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kahday
"mujhay tum say muhabbat hay"
to us ki baat mat sunnana

muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee'n aye
k main nay sach kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee'n kerna
wagerna aik jumla koi kitni baar duhraaye
kahay jayee

nahi sunnuna
muhabbat jhoot hay janaa'n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:53:06




Dil ki chokhat pe jo aik deep jala rakha hai
Dil ki chokhat pe jo aik deep jala rakha hai


Dil ki chokhat pe jo aik deep jala rakha hai
Tere laut aanay ka amkaan saja rakha hai

Saans tak bhi nahi letay hain tujhe sochtay wakt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai

Roth jatay ho tow kuch aur haseen lagtay ho
Hum ne ye soch ke hee tum ko khafa rakha hai

Tum jisey roota hua chor gaye thay aik din
Hum ne us shaam ko seenay se laga rakha hai

Chain lenay nahi detaye kisi taur mujhe
teri yadon ne jo tofan utha rakha hai

janay walay ne kaha thakeh wo lautay ga zaroor
aik isi aas pe derwaza khula rakha hai

tere janay se jo aik dhool uthi thi ghum ki
hum ne us dhool ko aankhon mey basa rakha hai

mujh ko kul shaam sewo yaad bohut aanay laga
dil ne muddat se jo aik shaks bhula rakha hai

aakhri baar jo aaya tha mere naam
mein ne us khat ko kalaijay se laga rakha hai





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:53:31




Kaha tha na!
Kaha tha na!

Kaha tha na!
Mujhay tum iss tarah sootay huay matt chor ker jana
Mujhay bayshak jaga daina
Bata daina
Muhabbat ke safar main saath mairay chal nahin sakteeN
Judai main, hijar main saath mairay jal nahin sakteeN
Tumhain rasta badalna hai
Mairi hadd se nikalna hai
Tumhain kis baat ka derr tha
Tumhain jaanay nahin daita
Kahin per qaid ker laita
Array PAGLI!
Muhabbat kee tabiyat main zaberdasti nahin hoti!
Jissay rasta badalna ho
Ussay rasta badalnay se
Jissay hadd se nikalna ho
Ussay hadd se nikalnay se
Na koi rok paya hai
Na koi rok pai ga
Tumhain kiss baat ka darr tha
Mujahy baishak jaga daitay
Tumhain main daikh hee laita
Tumhain koi dua daita
Kam-az-kamm yuN tu na hota
Mairay Saathi! Haqeeqat hai
Tumharay baad khonnay ke Liya kuch bhee nahin baaqi
Mager khonnay se derta hoon
MAIN AB SONAY SE DERTA HOON





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top
19/11/2026
<< First  < Previous | Page:  1 | 2 | 3 | 4 | Next >  Last >>



*** NkuT.Com ***