| Total Views: 2070 - Total Replies: 35 |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:54:02 |
|
ghum mila to ro naa sakay... Ghum Mila Toh RoO Na Sakhe.. khushi Mili ToO Hans Na Sakhe.. Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka.. Ham Samaj Na Sakhe... Jis KoO Chaha, Apna Na Bana Sakhe....
Aap Chale Gayen.. Phir Bhi Dilse Nikhaal Na Sakhe.. Par Jab Aap The.. Pass Bhi Na Aa Sakhe.. Ab Aapki Yaadon koO.. Seene Se Lagaake Phirthey Hai.. Saamne Aap koO Paa kar Bhi .. Gale Na Lagaa Sakhey.. Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka.. Ham na Samaj Sakhe.. Jis KoO Chaha Aapna Na Bana Sakhe..
Ab PalkoO KoO Band Karke.. Pal Mein Apke Pass Hothe Hai.. Magar Jab AnkhoOn ke Samne Tha.. Jee Bher Ke Dekh Bi Na Sakhe.. Dil Dard Se Bharaa Huaa Tha.. Lekin RoO Na Sakhe.. Yeh kaise Raaz Zindegi ka.. Ham Na Samaj Sakhe.. Na Chup Rah Sakhe Na Pyar Jataa Sakhe..
Ab Aap Ke Saath Ke Liye.. Har Pal Tarapte Hai.. Magar Jab Hum Tarap Rahe the.. ToO Saath Na Desakhe.. Dil ToO Rotaa Rahe Per.. Ankhon Se AnsoO Na Bahein.. Pyaar Ke is Riwaj KoO Na Samaj Sakhey...
Dil Itni Chot Khaker Bi.. Aap Hee koO Chahta Kyu Hai.. Hum Samaj Na Sakhe.. Aap ke Laakh InkaaroOn Ke Baad Bhi... Aap Hamare Nahii HaoO.. Ye, Dil koO Samjha Na Sakhe.. Laakh Chaaha Humne.. Phir Bhi AapkoO Bhula Na Sakhey...
Aap Humein BhoOl Gaye.. Magar Hum Na BhoOla Sakhe.. Jaise Khuwaab Zindagi.. Aur Zindagi khuwaab Na HoO Sakhey.. Waise Aap Hamare Na HoO Sakthey..
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:54:23 |
|
gham ki dastaan.... Main Gham Ki Dastaan Apni Sunaon Gi Is Mehfil Ko Ab Main Rulaoon Gi Dhai Gai Zulm Jo Mujh Par Ab Tak Ek Ek Zulm Ka Ehwaal Ab Tumhain Batlaon Gi Shikayat Hai Mujhay Apnon Say Buhat Sari Sab Bayaan Kar, Aankhon Ko Ashk Bar Kar Jaon Gi Mohlat Jo Chand Lamhoon Ki Zindagi Nay Di Hai Dastaan-E-Gham-E-Mohabbat Kia Us Main Bayan Kar Paaon Gi Mohabbat Jo Karti Thi Main Ek Bewafa Say Us Ki Bewafai Ka Aalam Tum Ko Dekhlaon Gi Khiloona Jaan Kar Khelta Raha Woh Merey Dil Say Kia Pata Tha K Ek Din Thokar Laga Diya Jaon Gi Aah..! Kuch Tu Reham Kia Hota Us Nay Mujh Par Ab Tu Zindagi Bhar Main Rooti Chali Jaon Gi Haaye..! Mujhay Kia Pata Tha K Ek Din Mohabbat K Haathon Khoob Rund Laya Jaon Gi Kitni Chahat Thi Merey Dil Main Us K Liey Kabhi Socha Na Tha K Main Khilna Ban Jaon Gi Mohabbat Ki Thi Us Say Main Nay Apnay Say Bhi Ziada Kia Pata Tha K Sirf Nafrat K Kabil Reh Jaon Gi ahhh... Na Jaan Paye Hum Teri Is Adda Ko Itna Tu Soocha Hota Us Bin Main Kaisey Reh Paon Gi....
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:54:49 |
|
Mujhay khud nahi malom mai asa kyun hoon Har koi nafrat sai kaikhta hai kyun her kisi ka dil torta hon Pyar sai bohat ziyada nafrat kerta honn kyun k pyar humay bohat rulata hai Khud ko mitana chahta hon kyun k hum is zindagi ko jenay k kabil nahi hai her kisi sai nafrat ke umed kerta hon kyun k humay pyar sai nafrat se hai Akser ek shikyat kerta hon un zakhmo ka dard mujhay milta kyun nahi hai Un se bohat dor hon pr unhe apnay dil mai rakhta hai khabi unki kami mehsoos na ho is liye unhe apnay khawabo mai daikh leta hai itna pyar kerta ho k unhay daikhay begair in ankhon se anso rukta nhi hai har koi nafrat se daikhta hai
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:55:29 |
|
Palkon pe aansoon ko sajaya na jaa saka.........................
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka..................
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera..................... ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka....................
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood............... aankhon main aansoon ko chupaya na jaa saka.............
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain................... jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka................
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho................... hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka...............
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar...................... chehre ka rang us se chupaya na jaa saka..................
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye....................... magar faasla ana ka mitaya na jaa saka................... =========================================================
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:55:57 |
|
JAB SE DIL LAGYA HAI MAINE TUM SE .............................
SAB KUCH SEHNE KI ADAT SE HoO GYEE HAI MUJH KO.............
INTAZAAR KERTA HOON MAIN TERA DER TAK...................... LAKIN TUJHE KO NA ANEY KI ADAT SE HoO GAYEE HAI......
BAAT BAAT PE MUSKARATA HOON MAIN........................ TERE JANE KE BAA UB TU RONE KI ADAT SE HoO GAYEE HAI....
KABHI TALAB KERTA THA MAIN TERI........................... UB ToO BERUKHI SEHNE KI ADAT SE HoO GAYEE HAI.............
KABI EK HUMDARD CHATATA THA MAIN BHI APNI ZINDAGI KE LYE.. PER UB TU TANHA GAM SEHNE KI ADAT SE HO GAYEE HAI..........
JAB SE SOCHANA SHURU KYA HAI MAINE TUM KoO................ SARI SARI RAAT JAGANE KI ADAT SE HoO GAYEE HAI...........
UB ToO CHAHYE CHoOR BHI DoO TUM MUJHE KO................ AB TERE BINA TANHAYE KAATNE KI ADAT SE HoO GAYEE HAI....
MAINE JESE BHI CHAHA KESE KO WoO CHoOR KER CHALA GAYA MUJHE UB TU APNO KO KHONE KI ADAT SE HoO GAYEE HAI..............
JAB SE TUM GAYI HoO MUJHE CHOR KER...................... TAB SE CHUP REHNE KI ADAT SE HoO GAYEE HAI................
TUM SE NA KOI SHEKWA NA KOI SHEKYAT HAIMUJHE.............. BAS KHUD SE SHEKYAT KERNE KI ADAT SE HoO GAYEE HAI......
MALoOM HAI MUJHE KE MERE HATH KI IN LAKEROON MAIN TERA NAAM NAHI LIKHA HAI................................................ BAS TERE JANE KE BAAD APNI KISMAT SE LERNE KI ADAT SE HoO GAYEE
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:56:17 |
|
Chehra mera tha, nigaahain uski, khamoshi main bhi woh baatain uski!
Mere chehrey pe ghazal likhti gai'n, she'er kehti hooi aankhain uski..
Sokh lamhon ka pata dene lagee'n, taiz hoti hooi saansain uski!
Aesey mosam bhi guzaarey hum ne, subhain jab apni thee'n, raatain uski!
Neend is soch se tooti aksar, kis tarha se kat'ti hain raatain uski!!!
dooor reh ker bhi sada rehti hain, mujh ko thaamey huwe baa'nhain uski!
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:57:15 |
|
YUN HE PERHTE HUWE Yun he parhte huwe mujh ko Tumhari yaad k aaseb nay ghera Khayaal aaya mujhe Dunya main khush rehna koi mushkil nahi hay
Bohat see easi baatein hain Jinhein hum soch k hans sakte hain kitne Yahaan per easay kaam hain Jinhen kerna musarrat he musarrat hay
Yun he parhte huwe mujh ko khayaal aaya Tumhari yaad main phhailay huwe khushyon k saare rung Meri rooh ki deewar per Sershaari k who naqsh bunti hay
Azal say jo khuda nay bargazeeda hastiyoon ki he faqat qismat Main likhay hain Koi titly Mehekti jhoomti’ phoolon k upper raqs kerti
Dhoop main udti huwi Khud he ulfat k nashay mein gumm Dehekti june ki garmi say be-perwah Muhabbat mein ajab sarshaari hay
Jaisy tumhari yaad k lamhaat mein her ek shay main bhool jata hoon Kisi ki aarzoo mein Dopeher ko nangay paaon ghoomna Kitna musarrat afza hay jana
Koi pagal k jis ki saari khushyaan Saare sapnay Ek sachaaye ki khatir hain K uss ka aadarsh
Insaaniyat k khuaab bunta hay Faqat such k liye sooli per charhna Zeher peena hay Ya apni zindagi jabri jila-watani k sehra
Aur kaali kotthri k nazar kerna hay K jaisy main Tumhary khuaab ki sooli pay charh ker jee raha hoon Aur tumharii chahaton ka zeher peeta hoon
Tumhari yaad k sehra mein rehta hoon Khush rehny Khushi say jeeny mernay k liye kaafi Kisi say piyaar kerna hay MaiN jaisy tum say kerta hoon..!
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:57:57 |
|
DUNYA KI LAMBI RAHOON MEIN
Dunya Ki Lambi Rahoon Per Hum Yoon To Chaltay Jatay Hain
Kuch Aaisay Loog Bhi Miltay Hain Jo Yaad Hameesha Aatay Hain
Woh Rah Badaltay Hain Apni Aur Mur Ker Haath Hilatay Hain
Lakin Woh Diloon Ko Yadoon Ki Khushboo Bun Ker Mehkatay Hain
Aaisay Hi Safar Kertay Kertay, Ek Shakhas Mila Hum Ko Bhi Kahein
Dunya Main Achay Loog Bohat , Lakin Us ki Si Baat Nahin
Woh Dheemay Lehjay Wala Tha Aur Dheeray Say Hunsta Tha
Jitnay Bhi Loog Milay Hum Ko , Such Jano, Sab Say Acha Tha
Thi Laag Na Us Kay Boloon Main ,Ki Baat Na Koi Lagawat Ki
Us Kay Fiqray Tootay Tootay , Us Ki Aankhien Khooyee Khooyee Si
Keh Ker Hi Na Day Jo Hum Chahein , Soocha Hi Keray Betha Betha
Per Dekhay Aaisi Nermi Say Ek Baar To Ho Jayay Dhooka
Goo Saath Humara Khoob Raha , Us Ko Na Hui Pehchan Bohat
Gar Boojh Lay Dil Ki Baat Kabhi , Ho Jata Tha Hairaan Bohat
Hum Us ki Hairani Per Sherminda Ho Ker Reh Jatay
Kuch Aur Humara Matlab Tha , Phir Dair Talak Yeah Samjhatay
Aab Chehra Us Ka Ujla Hoo Ya Aankhein Us Ki Hoon Gehree
Ya Us Kay Pyaray Hontoon Ki Her Baat Lagay Thehri Thehri
Kuch Loog Jo Achay Hotay Hain Aur Rahoon Main Mil Jatay Hain
Hain Un Apnay Kaam Bohat , Kab Apna Waqat Ganwatay Hain
Kab Pyasay Pyasay Rehtay Hain , Kab Jee Ko Roog Lagatay Hain
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:58:37 |
|
Hawa Jab Teez Chalti Hai.........................................
Tumhari Yaad Aati Hai...................................... Jab Pattey Sar-Saratey Hain................................ Aur Ziker Tumhara Hota Hai................................
Kabhi Bholey Sey Shab Ko.................................... Meray Dil Main A Ker Dekho............................... Hai Aik Mahfil Sajji Hoti.................................. Aur Ziker Tumhara Hota Hai...............................
Tumhin Kesay Bataoon Kitni Chahat........................ Main Nay Ki Hai Tum Sey.................................... Kay Jab Bhi Aansoo Chhalaktey Hain.......................... Aur Ziker Tumhara Hota Hai...............................
Kabhi Chanda Ko Main Dekhon................................ Kabhi Tarey Main Gintta Hoon............................. Kabhi Chandni Muskurati Hai................................ Aur Ziker Tumhara Hota Hai...............................
Zamana Hai Bohat Zalim................................... Kahin Yeh Cheen Na Lay Tum Ko............................... Isi Liyey Main Buss Khamosh Hota Hoon..................... Aur Ziker Tumhara Hota Hai...............................
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
|