Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Page:  1 | 2 | 3 | 4 | Next >  Last >>
Total Views: 2079 - Total Replies: 35

POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:44:37



is dil nay tairay bad muhabbat bhe nahe kee ......
is dil nay tairay bad muhabbat bhe nahe kee
hadh yai kai dharaknay kee jesarat bhe nahe kee

tabeer ka ayzaz howa hay ussay hasil
jis nay mairay khowabon main sherakat bhe nahe kee

ulfat tu bari baat hay humsay tu sir-a-shaiher
logo nahe kubhe dhang say nafrat bhe nahe kee

aadab-a-safer ab wo seekhtay hain jin hon nay
do char qadam tay yai mosafat bhe nahe kee

kya apni safaee main bay yan daitay kai humnay
nakerda gunhaee kee wazahat bhe nahe kee

khamosh tamashaee kai manind sir-a-bazum
so zakhum sa hay dil per shekayat bhe nahe kee

us gher kai sub he log mujhay chornay aa a
daihleez tuk us nay yai zaihmat bhe nahe kee

us nay bhe gholamon kee safhon main humnain rakha
is dil pai kubhe jis nay hokomat bhe nahe kee ..............





--------------------------------------------------------------
Maad




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:44:59




Abhi iss taraf na nigaah kar
mein ghazal ki palkein savaar loun...
Mera lafz lafz ho Aaina...
tujhey Aainey mein utaar loun....

Mein tamaam din ka thaka hua
tu tamaam shab ka jagaa hua...
Zara theher jaa issi morh par
terey saath shaam guzaar loun..

Agar aasman ki numaayishon mein
mujhey bhi izn-e-qayaam ho...
to mein motiyon ki dukaan sey
teree baaliyaan terey haar loun...

Kayii ajnabi teree raah sey
merey paas sey youn guzar gaye...
Jinhein dekh kar yeh tarap hui
tera naam ley key pukaar loun....





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:45:18




bohat din say ............
bohat din say
mujhay kuch un kahay alfaaz nay baicheen ker krakha hay
mujhay sonay nahe daitay
mujhay hasnay nahe daitay
mujhay ronay nahe daitay
yon lagta hay !
kai jaisay saans seenay main kahain thairee hoe hay
yon lagta hay!
kai jaisay taiz garmi main
zara see dair ko barish baras kai rok gae hay
ghootan charoon taraf phailee howe hay
bohat din say!
mairee ankhon main sapnoo kee
koi dolee nahe otree
bohat din say!
khayalon main dabbay paon
ko apna nahe aya
bohat din say!
wo sub jazbay
ju mairee shaeree kai mosamoo main rang bhertay thay
kahain so a howay hain
main unko dhondnay
is zindagi kai dasht main nikla tu hon laikin!
mujhay maloom hay jazbay
ager ik bar kho jaein
tu phir wapis nahe miltay
mujhay maloom hay phir bhe
abhe ik aass baqi hay
main ab us aass kai unglee paker ker
chal raha hon
bazahir shabnami thandak mujhay ghairay howay hay
muger main jal raha hon
main ab tuk chal raha hon





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:45:35




INKAAAR ...........
INKAAAR ...........

bohat he dor wadeeyon say yai sada aaee
kai jub tum pyar kerna tu kubhe inkaar kai dar say
kissi kee jeet kai dar say ya apni har kai dar say
kubhe bhe dil ke awazon ko tum dil main nahe rukhna
inhain honton kai zindanoo say phir aazad ker daina
kai ju aisa nahe kerta ussay afsos raihta hay



ussay phir zindagi main her lumha afsos raihta hay
kai is nay zindagi kai bay baha anmol thofay ko
faqat andaisha-o-ifkaar pai qorbaan ker dala
kai is nay chand (few) barsoon kee faqat takleef kai badlay
zindagi bher kai pachtaway ka yai azaab kyon paala

kai ju aissa nahe kerta ...
wo phir tanhaaee kai bay raihum , or wasee saihra main
muhabbat kee faqat do chaar bondon ko tarasta hay
zindagi kai kissi bhe mor say jub wo gozerta hay
kissi apnay say dil kee baat kaihnay ko machalta hay

wo jub beemar perta hay
kissi humdard kissi humnawa ko yad kerta hay
wo phir yai socha kerta hay
koi ho ju mujhko perhaizz kee taqeed kerta ho!

koi ho ju mairee takleef main khod bhe tarapta hoo!
dawa na lon kubhe ju main tu phir danta bhe kerta hoo
koi tu hoo , koi tu ho ,ju mujh say pyar kerta ho!

in hee sochoo say ghabra ker wo phir khod he say larta hay
main is bay raiham dunya main aakailay jee bhe sakta hon
moqaddar main ju likhay wo ansoo pee bhe sakta hon
mager wo haar jata hay
tu us kee ankh say chopkai say ik aansoo nikalta hay
us say pachtana perta hay

soo
jub tum pyar kerna tu kubhe inkaar kai dar say
kissi kee jeet kai dar say ya apni haar kai dar say
kubhe bhe dil kee awazon ko tum dil main nahe rukhana
inhain hontoo kai zindanoo say phir aazad ker daina
kai ju aiisa nahe kerta ussay afsoos raihta hay
kai ju aissa nahe kerta ussay pachtana perta hay ...





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:45:56




sonu .. aissa nahe kertay
sonu .. aissa nahe kertay
suno ! jis dil main raihtay hon
ussay tora nahe kertay
bina jis kai na jee payin
ussay chora nahe kertay
suno ! kuch dair rok jao
koi tadbeer ker lain gay
ju saray khowab daikhan hain
unhain tabeer ker laingay
ju hathon main lakeerain hain
unhain takdeer ker lain gay
sonu ! kuch dair rok jao
khodara yon tu mat jao
bina tairay yai jeewan hum
kaho kaisay beetayin gay
sonu ! tum yad aa a tu
bohat khod ko rolayin gay
suno ! jub dard hoga tu tarap ker mar he jayingay
sunoooo ! kuch dair rok jao
sunoo kuch dair rok jao ..





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:46:26




Tumhari yaad ka mosam ...
Tumhari yaad ka mosam
Tumharey pyar ki soorat
Kabhi jub lout ker aayey
Mujhey tum yaad ker laina

Tumhari unkahi baatain
Woh kuch berabt sey bundhen
Kabhi tum ko sataeein tou
Mujhey tum yaad ker laina

Fiza main kho chuki hain
Na janey khamooshian kitni
Fiza jub muskuraey tou
Mujhey tum yaad ker laina

Merey daman main yaadon key
Faqat kuch khuaab baqi hain
Kabhi taabeer paao tou
Mujhey tum yaad ker laina





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:46:55



Hum Nhi Chatay*
*Hum Nhi Chatay*


Shaam Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay
Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay

Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayar Hain
Tu Parishan Rahay Hum Nahi Chahtay

Aaj Ansoo Bahanay say Maat Rook-e-ya
Aaj Barish Thamay Hum Nahi Chahtay

Hum Teray Baad Ujray Hoay Theek Hain
Ab Kahin Dil Lagay Hum Nahi Chahtay

Teray Paikar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
Tu Nazar Say Hatay Hum Nahi Chahtay

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay

Iss Qadar Pyar say Tu Pukara na Kar
Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:47:11




Sirf Inkaar Hi Mila hai
Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He

Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai

Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mil gaya


Gham nahi mujhe ki Dushma hua yeh zamana
Jab Dost Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hai


Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala Kaise De Diya
Mujhe Tou Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hai





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:47:43




Agar Ham Dost Hotey ...
Agar Ham Dost Hotey
To Karam Ki Inteha Kartey
Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
Tumhen Dil Men Basatey Ham
Agar Tum Rooth Jaatey To
Tumhen Kitna Manatey Ham
Jo Milney Tum Nahi Aatey To
Aa kar Khud Tumhen Miltey
Tumhari Larhzishon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detey
Agar Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detey
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Agar Ham Dost Hotey To





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:49:11




MENE CHAHA USAY BHOOL JAON
mene chaha usay bhool jaon .......
faramosh kardon wo sub,roz o shab!!
usko dekhon to youn kay jesay wakif hi nahin
mein bhi us ki tarah ab kisi ro ko saath lay kar chaloon
har ghari khush rahoon .....,muskurata phiron
bewajah,besabab!!
jab hawa kay qadam misl-e-maynosh bedhab se parnay lagein
chandni khirkiuon se pukaray
nigahein chamaknein lagein
aahatein kaan mein sabz sargoshiyan karkay chalnein lagein
dast-e-mosam kay aaejaz se perhan zard patay badalnay lagein
bakht e khwabeeda gul aankh malnay lagein
kaash youn ho kay tab.............
usko dekhon to wo ajnabi sa lagay
uski aahat pe khwahish kay koi gul na khilein
wo pukaray agar...uski awaz pe kaan tak na dharoon
ehd-e-rafta ki har yaad ko bhool kar
anay wali ruton ka swagat karoon
uskay chehray ko ..,chehron kay anboah mein...
...is tarah gum kardoon...
kay phir wo ankhein rahein,na wo gaisoo..na wo lub..
mene chaha usay bhool jaon
faramosh kardon wo sub,
roz-o-shab!!!





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top
19/11/2026
Page:  1 | 2 | 3 | 4 | Next >  Last >>



*** NkuT.Com ***