Welcome Guest Login or Signup

ruby_87here
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


RSS
Muhabbat thaher jaati hai.........
Posted On: 11/12/2007 10:39:59

Hum aksar yeh samajhtay hain

jisay hum pyaar kartay hain



usay hum bhool baithay hain

magar aisa nahin hota



mohabbat daimi such hai

mohabbat thaher jaati hai!!!



hamari baat kay andar

mohabbat baith jaati hai



hamari zaat kay andar magar

yeh kam nahin hoti



kisi bhi dukh ki soorat mein

kabhi koi zaroorat mein



kabhi anjaan se gham mein

kabhi lehjay ki thandak mein



udaasi ki zaroorat mein

kabhi baarish ki soorat mein



hamari aankh kay andar

kabhi aab-e-rawan ban kar



kabhi qatray ki soorat mein

bazahir aisa lagta hai usay



hum bhool baithay hain magar

aisa nahin hota magar aisa nahin hota....



yeh hargiz kam nahin hoti...

MOHABBAT THAHER JAATI HAI.......!!!



Bookmark:



Viewing 1 - 3 out of 3 Comments

01/01/2008 11:27:14

V.V Nice.....


Keep it up!!!!!!!!!!!!!!!




SCRAPBOOK

11/12/2007 11:16:24
hi deerest smile////would u like to make me urs.................



SCRAPBOOK

11/12/2007 10:42:57
I Love itttttt



SCRAPBOOK