| POSTED BY: kashish on 21/08/2007 11:19:03 |
|
Hum nazuk nazuk dil walay bas aisay he to hotay hain kabhi hanstay hain kabhi rotay hain kabhi dil mein khawab pirotay hain kabhi mehfil mehfil phirtay hain kabhi zaat mein tanha hotay hain kabhi chup ki mohar sajatay hain kabhi geet laboon pe latay hain kabhi sab ka dil behlatay hain kabhi khud mein tanha hotay hain kabhi shab bhar jaagtay rehtay hain kabhi lambi taan k sotay hain ham nazuk nazuk dil walay bas... kuch aisay he to hotay hain...
--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
|