| Total Views: 2072 - Total Replies: 35 |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:44:37 |
|
is dil nay tairay bad muhabbat bhe nahe kee ...... is dil nay tairay bad muhabbat bhe nahe kee hadh yai kai dharaknay kee jesarat bhe nahe kee
tabeer ka ayzaz howa hay ussay hasil jis nay mairay khowabon main sherakat bhe nahe kee
ulfat tu bari baat hay humsay tu sir-a-shaiher logo nahe kubhe dhang say nafrat bhe nahe kee
aadab-a-safer ab wo seekhtay hain jin hon nay do char qadam tay yai mosafat bhe nahe kee
kya apni safaee main bay yan daitay kai humnay nakerda gunhaee kee wazahat bhe nahe kee
khamosh tamashaee kai manind sir-a-bazum so zakhum sa hay dil per shekayat bhe nahe kee
us gher kai sub he log mujhay chornay aa a daihleez tuk us nay yai zaihmat bhe nahe kee
us nay bhe gholamon kee safhon main humnain rakha is dil pai kubhe jis nay hokomat bhe nahe kee ..............
--------------------------------------------------------------
Maad
|
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:44:59 |
|
Abhi iss taraf na nigaah kar mein ghazal ki palkein savaar loun... Mera lafz lafz ho Aaina... tujhey Aainey mein utaar loun....
Mein tamaam din ka thaka hua tu tamaam shab ka jagaa hua... Zara theher jaa issi morh par terey saath shaam guzaar loun..
Agar aasman ki numaayishon mein mujhey bhi izn-e-qayaam ho... to mein motiyon ki dukaan sey teree baaliyaan terey haar loun...
Kayii ajnabi teree raah sey merey paas sey youn guzar gaye... Jinhein dekh kar yeh tarap hui tera naam ley key pukaar loun....
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:45:18 |
|
bohat din say ............ bohat din say mujhay kuch un kahay alfaaz nay baicheen ker krakha hay mujhay sonay nahe daitay mujhay hasnay nahe daitay mujhay ronay nahe daitay yon lagta hay ! kai jaisay saans seenay main kahain thairee hoe hay yon lagta hay! kai jaisay taiz garmi main zara see dair ko barish baras kai rok gae hay ghootan charoon taraf phailee howe hay bohat din say! mairee ankhon main sapnoo kee koi dolee nahe otree bohat din say! khayalon main dabbay paon ko apna nahe aya bohat din say! wo sub jazbay ju mairee shaeree kai mosamoo main rang bhertay thay kahain so a howay hain main unko dhondnay is zindagi kai dasht main nikla tu hon laikin! mujhay maloom hay jazbay ager ik bar kho jaein tu phir wapis nahe miltay mujhay maloom hay phir bhe abhe ik aass baqi hay main ab us aass kai unglee paker ker chal raha hon bazahir shabnami thandak mujhay ghairay howay hay muger main jal raha hon main ab tuk chal raha hon
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:45:35 |
|
INKAAAR ........... INKAAAR ...........
bohat he dor wadeeyon say yai sada aaee kai jub tum pyar kerna tu kubhe inkaar kai dar say kissi kee jeet kai dar say ya apni har kai dar say kubhe bhe dil ke awazon ko tum dil main nahe rukhna inhain honton kai zindanoo say phir aazad ker daina kai ju aisa nahe kerta ussay afsos raihta hay
ussay phir zindagi main her lumha afsos raihta hay kai is nay zindagi kai bay baha anmol thofay ko faqat andaisha-o-ifkaar pai qorbaan ker dala kai is nay chand (few) barsoon kee faqat takleef kai badlay zindagi bher kai pachtaway ka yai azaab kyon paala
kai ju aissa nahe kerta ... wo phir tanhaaee kai bay raihum , or wasee saihra main muhabbat kee faqat do chaar bondon ko tarasta hay zindagi kai kissi bhe mor say jub wo gozerta hay kissi apnay say dil kee baat kaihnay ko machalta hay
wo jub beemar perta hay kissi humdard kissi humnawa ko yad kerta hay wo phir yai socha kerta hay koi ho ju mujhko perhaizz kee taqeed kerta ho!
koi ho ju mairee takleef main khod bhe tarapta hoo! dawa na lon kubhe ju main tu phir danta bhe kerta hoo koi tu hoo , koi tu ho ,ju mujh say pyar kerta ho!
in hee sochoo say ghabra ker wo phir khod he say larta hay main is bay raiham dunya main aakailay jee bhe sakta hon moqaddar main ju likhay wo ansoo pee bhe sakta hon mager wo haar jata hay tu us kee ankh say chopkai say ik aansoo nikalta hay us say pachtana perta hay
soo jub tum pyar kerna tu kubhe inkaar kai dar say kissi kee jeet kai dar say ya apni haar kai dar say kubhe bhe dil kee awazon ko tum dil main nahe rukhana inhain hontoo kai zindanoo say phir aazad ker daina kai ju aiisa nahe kerta ussay afsoos raihta hay kai ju aissa nahe kerta ussay pachtana perta hay ...
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:45:56 |
|
sonu .. aissa nahe kertay sonu .. aissa nahe kertay suno ! jis dil main raihtay hon ussay tora nahe kertay bina jis kai na jee payin ussay chora nahe kertay suno ! kuch dair rok jao koi tadbeer ker lain gay ju saray khowab daikhan hain unhain tabeer ker laingay ju hathon main lakeerain hain unhain takdeer ker lain gay sonu ! kuch dair rok jao khodara yon tu mat jao bina tairay yai jeewan hum kaho kaisay beetayin gay sonu ! tum yad aa a tu bohat khod ko rolayin gay suno ! jub dard hoga tu tarap ker mar he jayingay sunoooo ! kuch dair rok jao sunoo kuch dair rok jao ..
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:46:26 |
|
Tumhari yaad ka mosam ... Tumhari yaad ka mosam Tumharey pyar ki soorat Kabhi jub lout ker aayey Mujhey tum yaad ker laina
Tumhari unkahi baatain Woh kuch berabt sey bundhen Kabhi tum ko sataeein tou Mujhey tum yaad ker laina
Fiza main kho chuki hain Na janey khamooshian kitni Fiza jub muskuraey tou Mujhey tum yaad ker laina
Merey daman main yaadon key Faqat kuch khuaab baqi hain Kabhi taabeer paao tou Mujhey tum yaad ker laina 
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:46:55 |
|
Hum Nhi Chatay* *Hum Nhi Chatay*
Shaam Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay
Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayar Hain Tu Parishan Rahay Hum Nahi Chahtay
Aaj Ansoo Bahanay say Maat Rook-e-ya Aaj Barish Thamay Hum Nahi Chahtay
Hum Teray Baad Ujray Hoay Theek Hain Ab Kahin Dil Lagay Hum Nahi Chahtay
Teray Paikar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain Tu Nazar Say Hatay Hum Nahi Chahtay
Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay
Iss Qadar Pyar say Tu Pukara na Kar Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:47:11 |
|
Sirf Inkaar Hi Mila hai Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai
Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya Mein khushnasib hun mujhe Intezar mil gaya
Gham nahi mujhe ki Dushma hua yeh zamana Jab Dost Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hai
Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala Kaise De Diya Mujhe Tou Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hai
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:47:43 |
|
Agar Ham Dost Hotey ... Agar Ham Dost Hotey To Karam Ki Inteha Kartey Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham Tumhen Dil Men Basatey Ham Agar Tum Rooth Jaatey To Tumhen Kitna Manatey Ham Jo Milney Tum Nahi Aatey To Aa kar Khud Tumhen Miltey Tumhari Larhzishon Ko Bhi Hansi Main Ham Ura Detey Agar Apni Khata Hoti To Khud Ko Bhi Saza Detey Magar Ye Sab Jabhi Hota Agar Ham Dost Hotey To
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:49:11 |
|
MENE CHAHA USAY BHOOL JAON
mene chaha usay bhool jaon ....... faramosh kardon wo sub,roz o shab!! usko dekhon to youn kay jesay wakif hi nahin mein bhi us ki tarah ab kisi ro ko saath lay kar chaloon har ghari khush rahoon .....,muskurata phiron bewajah,besabab!! jab hawa kay qadam misl-e-maynosh bedhab se parnay lagein chandni khirkiuon se pukaray nigahein chamaknein lagein aahatein kaan mein sabz sargoshiyan karkay chalnein lagein dast-e-mosam kay aaejaz se perhan zard patay badalnay lagein bakht e khwabeeda gul aankh malnay lagein kaash youn ho kay tab............. usko dekhon to wo ajnabi sa lagay uski aahat pe khwahish kay koi gul na khilein wo pukaray agar...uski awaz pe kaan tak na dharoon ehd-e-rafta ki har yaad ko bhool kar anay wali ruton ka swagat karoon uskay chehray ko ..,chehron kay anboah mein... ...is tarah gum kardoon... kay phir wo ankhein rahein,na wo gaisoo..na wo lub.. mene chaha usay bhool jaon faramosh kardon wo sub, roz-o-shab!!!
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
|