| Total Views: 2073 - Total Replies: 35 |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:49:28 |
|
MENE CHAHA USAY BHOOL JAON
mene chaha usay bhool jaon ....... faramosh kardon wo sub,roz o shab!! usko dekhon to youn kay jesay wakif hi nahin mein bhi us ki tarah ab kisi ro ko saath lay kar chaloon har ghari khush rahoon .....,muskurata phiron bewajah,besabab!! jab hawa kay qadam misl-e-maynosh bedhab se parnay lagein chandni khirkiuon se pukaray nigahein chamaknein lagein aahatein kaan mein sabz sargoshiyan karkay chalnein lagein dast-e-mosam kay aaejaz se perhan zard patay badalnay lagein bakht e khwabeeda gul aankh malnay lagein kaash youn ho kay tab............. usko dekhon to wo ajnabi sa lagay uski aahat pe khwahish kay koi gul na khilein wo pukaray agar...uski awaz pe kaan tak na dharoon ehd-e-rafta ki har yaad ko bhool kar anay wali ruton ka swagat karoon uskay chehray ko ..,chehron kay anboah mein... ...is tarah gum kardoon... kay phir wo ankhein rahein,na wo gaisoo..na wo lub.. mene chaha usay bhool jaon faramosh kardon wo sub, roz-o-shab!!!
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:49:57 |
|
BEWAFAII
hamaray darmiyaan aaesa koi rishta nahin tha teray shanoon pe koi chatt nahin thii meray zimay koi aangan nahin tha.. koi waada teri zanjeer-pa ban nahin paya kisi iqrar ne meri kalaii ko nahin thama hawa-e-dasht ki manind tou azaad tha raasta teri marzi kay taabay tha... mujhe bhi apni tanhaii pe dekha jaye to poora tasaruf tha magar........ jab aaj tou ne rassta badla hay tou kuch aesa laga mujh ko kay jesay tou ne mujh se bewafaii ki !!
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:51:03 |
|
chehra badlay tou kirdar badl jata hai ... chehra badlay tou kirdar badl jata hai fateh hoti hai tou salar badl jata hai
kya ajb saya hai phela hua bsti pay meri? ankh b jhakaoon tou bazar badl jata hai
apnay anjaam tuk afsana puchanchta kaisay! dafatun murkazi kirdar badl jata hai!
jo b kurna hai abhi meray havaly kur do waqt k sath kharedar badl jata hai
JAZIB ik chehra nazr atta hai deewar mein pur pass jata hon tou shahkar badl jata hai
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:51:26 |
|
tere bin... Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahin Ek pal Nahin jab Tumhe Humne Pukaara Nahin Meri Naakaamiyon Ka Itna Bhi Ghum Na Kijiye Agar aap Jeete Hain to Main Haara Nahin Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahin Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin Kar Rakhaa Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahin Kisko Gale Lagaa Ke Rooyen Na-Muraad Hum Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahin Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab Gehre Hain Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahin Wo aa Ke Poonchh Den Aansu Hamari Aankhon se Itna bhi Hamare Haq Mein Naseeb Hamara Nahin
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:51:45 |
|
Dosti khatam nahi husakti Dosti khatam nahi husakti Dosti hub-e-khuda huti hai Dosti dast-e-dua huti hai Dosti sirf wafa huti hai Dosti sab sai juda huti hai Dosti sarai zamanay sai kahan! Dosti hath milanai sai kahan ! Dosti sirf jatani sai kahan ! ye to rohoun ka milan huti hai yeh tu khushboey chaman huti hai apni hi dhun main magan huti hai yeh tu bas aik lagan huti hai Dosti mulkoon ki jageeR kahan sarhadoun main jo batai rehtai hain sath reh kar bhi katai rehtai hain Dosti, doostoun kiya huti hai ? Dosti haq ki ata huti hai doosti khushboo hawa huti hai doosti had sai siwa huti hai Dosti dost agar rakhtai hain door reh kar bhi khabar rakhtai hain Dosti jeenai ka hunar rakhtai hain Dosti chand sitaron ki tarah Dosti dil kai saharoon ki tarah Dosti dard kai maroon ki tarah Dosti jheel kinaroon ki tarah jo juda ho kar basar kartai hain umer bhar sath safar kartai hain Dosti sood-o-ziyaan sai barh kar Dosti fehm-o-guman sai barh kar Dosti hai dil-o-jaan sai barh kar Dosti sarai jahan sai barh kar door reh kar bhi koi pass rahai Dosti jeenai ka ehsas lagai dosti khatam nahi husakti Dosti khatam bhi kaisai hugi? Dosti dil ki raza mandi hai dosti wasf-e-khudawandi hai woh khuda mera Rab-e-jahan jis nai alam ko saja rakha hai woh khudawand akaila hai magar US NAI BHI DOST BANA RAKHA HAI
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:52:09 |
|
Mohabbat mar nahi sakti
Mohabbat Zinda rehti hai
Mohabbat kam nahi hoti
Mohabbat barhti rehti hai
Magar itna yaqeen to ho
Ke tum ko bhi Mohabbat hai
Magar mujh ko yaqeen hai yeh
Ke mujh ko to Mohabbat hai
Agar tum ko nahi to kya
Tumhain bhi ho hi jaye gi
Churao Laakh tum nazrein
Kahin tum jaa nahi sakte
Meri Chahat ki shiddat ko
Yun hi thukra nahi sakte
Nahi tum jaa nahi sakte
Mujhe khud per bharosa hai
Aur Chahat per yaqeen sa hai
Ke tum ko laut aana hai
Meri Chahat ki shiddat
Tumhain bhi khench laayegi
Tumhain bhi ek na ek din
Mohabbat ho hi jaye gi
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:52:35 |
|
muhabbat jhoot lagti hay mujhay muhabbat jhoot lagti hay mujhay ik khookhla jazba jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo kahay janay ki sunanay ki jisay her pal zaroorat hoo "mujhay tum say muhabbat hay" na janay rooz kitnay loog is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain ye aisa jhoot hay jis ka sehr sadioo'n say tari hay magar janaa'n muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay koi tum say ager kahday "mujhay tum say muhabbat hay" to us ki baat mat sunnana
muhabbat rooh say phootay muhabbat aks ban jaye to phir tum ko yaqee'n aye k main nay sach kaha tum say muhabbat rooh ban jaye to phir us ka yaqee'n kerna wagerna aik jumla koi kitni baar duhraaye kahay jayee
nahi sunnuna muhabbat jhoot hay janaa'n ager izhaar ki is ko zaroorat hoo
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:53:06 |
|
Dil ki chokhat pe jo aik deep jala rakha hai Dil ki chokhat pe jo aik deep jala rakha hai
Dil ki chokhat pe jo aik deep jala rakha hai Tere laut aanay ka amkaan saja rakha hai
Saans tak bhi nahi letay hain tujhe sochtay wakt Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai
Roth jatay ho tow kuch aur haseen lagtay ho Hum ne ye soch ke hee tum ko khafa rakha hai
Tum jisey roota hua chor gaye thay aik din Hum ne us shaam ko seenay se laga rakha hai
Chain lenay nahi detaye kisi taur mujhe teri yadon ne jo tofan utha rakha hai
janay walay ne kaha thakeh wo lautay ga zaroor aik isi aas pe derwaza khula rakha hai
tere janay se jo aik dhool uthi thi ghum ki hum ne us dhool ko aankhon mey basa rakha hai
mujh ko kul shaam sewo yaad bohut aanay laga dil ne muddat se jo aik shaks bhula rakha hai
aakhri baar jo aaya tha mere naam mein ne us khat ko kalaijay se laga rakha hai
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:53:31 |
|
Kaha tha na! Kaha tha na!
Kaha tha na! Mujhay tum iss tarah sootay huay matt chor ker jana Mujhay bayshak jaga daina Bata daina Muhabbat ke safar main saath mairay chal nahin sakteeN Judai main, hijar main saath mairay jal nahin sakteeN Tumhain rasta badalna hai Mairi hadd se nikalna hai Tumhain kis baat ka derr tha Tumhain jaanay nahin daita Kahin per qaid ker laita Array PAGLI! Muhabbat kee tabiyat main zaberdasti nahin hoti! Jissay rasta badalna ho Ussay rasta badalnay se Jissay hadd se nikalna ho Ussay hadd se nikalnay se Na koi rok paya hai Na koi rok pai ga Tumhain kiss baat ka darr tha Mujahy baishak jaga daitay Tumhain main daikh hee laita Tumhain koi dua daita Kam-az-kamm yuN tu na hota Mairay Saathi! Haqeeqat hai Tumharay baad khonnay ke Liya kuch bhee nahin baaqi Mager khonnay se derta hoon MAIN AB SONAY SE DERTA HOON
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
|