| Total Views: 432 - Total Replies: 16 |
|
| POSTED BY: kashish on 29/08/2007 08:14:12 |
|
oh my love i miss u sssoooooo much ....
Aasmaan ke taare poochte hain humse
kya tumhein intezaar hai uske laut aane ka ?
yeh dil muskura ke kehta hai
MUJHE TOH AB TAK YAKEEN NA HUA UNKE CHALE JAANE KA
--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
|
|
| POSTED BY: THE_GAME on 29/08/2007 08:18:34 |
|
Dur rehke humse kaise reh paoge Dil dhukhega tumhara, hamme bhi rulaoge dekho aise na rulao kuch karo ilaaj iss dard ka kehte ko aashiq ho mere karo insaaf iss dil ka
Kehte hain duriyan nazdikiyan banke aati hain Kya ye duriyan nazdikiyan banke aayengi kya ye hamme aur paas le aayengi ya ye duriyan, duriyan hi ban jayengi dekho aise na satao pyar ho tum mere pyar nahi tho yaari ki hi khatir karo kuch ilaaj iss dard ka kehte ho aashiq ho mere karo insaaf iss dil ka
Shayad ye sirf mera ek brahm hai Dur rehne se dilon ki duriyan nahi banengi mujhe apne pyar pe pura wishwaas hai par iss dard ka kya karoon jo iss duri ke saath aata hai tumhe apne samne na dekh ke mera dil dhadak sa jata hai nahi nahi karo kuch tho ilaaj iss duri ka kehte ho aashiq ho mere karo insaaf iss dil ka kuch tho karo insaaf iss dil ka!
Nice shayari miss.. Kashish..
 
--------------------------------------------------------------
For being good u need not to b a SUPERMAN... [
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: kashish on 29/08/2007 08:20:33 |
|
nahi pankaj yeh sirf shayeri nahi ,haqeeqat hai ,im really missing him jo ab is duniya mein nahi hai.
--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
|
| Back To Top |
|
|
kashish wrote:
nahi pankaj yeh sirf shayeri nahi ,haqeeqat hai ,im really missing him jo ab is duniya mein nahi hai.
|
apka gham sabke samne zahir na karo.....log usko galat samjinge...advice from a friend!!!
--------------------------------------------------------------
Version (2) - Re - Rock / Back Again - The Rize of YGZ
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: kashish on 29/08/2007 10:51:28 |
|
thanx for caring so much faraz ,jiske saath Allah hota hai uska koi kuch nahi ghalat kar sakta.
pata nahi aaj isliye yeh dukh bazahir hua tha kyunke kal shabe _baraat thi ,aur humne unko bahottttt zayada miss kiya
--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
|
| Back To Top |
|
|
kashish wrote:
thanx for caring so much faraz ,jiske saath Allah hota hai uska koi kuch nahi ghalat kar sakta.
pata nahi aaj isliye yeh dukh bazahir hua tha kyunke kal shabe _baraat thi ,aur humne unko bahottttt zayada miss kiya
|
bilkul sahi kaha aapne kash ji...aur the way u hv remembered is really great....hats off......allah kare aap ko duniya ki saari khushiyan mile....aameen
|
| Back To Top |
|
[quote="kashish"]
oh my love i miss u sssoooooo much ....
Aasmaan ke taare poochte hain humse
kya tumhein intezaar hai uske laut aane ka ?
yeh dil muskura ke kehta hai
MUJHE TOH AB TAK YAKEEN NA HUA UNKE CHALE JAANE KA
U people do really good shayari! is it love or it is mere talent!
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 29/08/2007 21:40:48 |
|
Jinki yaad mein hum deewane ho gaye, Wo hum hi se begaane ho gaye Shayad unhe talash hai ab naye pyaar ki Kyunki unki nazar mein hum purane ho gaye
Baaki kuch na raha zamaane mein Jawani guzar rahi mehkhaane mein Ab to karle mere pyaar pe yakeen Warna zindagi beet jaayegi aazmane mein
Tumhari har adaa ka kya jawab du Apne pyaar ko kya upahaar du Koi acha sa phool hota to maali se mangwata Jo khud gulaab hai usko kya gulaab du.
Waqt hume bhula chuka hai, Mukaddar bhi na bhula de Hum pyaar isliye nahi karte Ki kahin hume phir se koi na rula de
Aankhon mein aansu aa jaate hain Phir bhi labo pe hansi rakhni padti hai Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron Jisse karta hain useese chupani padti hai
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 29/08/2007 21:41:13 |
|
Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita Aur maazi ki bhi parchhain nahin padne daita
Mujh se ulfat ki, woh baatain to bohat karta hai Lekin khud ko, kabhi had se, nahin bardhne daita
Dosti mujh se woh chahta to hai lekin phir bhi Apne raazon ko kabhi, mujh pe nahin khulne daita
Pyar dil dil main woh mujh se to bohat karta hai Us ka izhar magar, mujh pe nahin honay daita
Mujh se milne ki woh koshish to bohat karta hai Lekin milne pe kabhi mehsoos nahin honay daita
Zindagi us ki bhi kat jati yunhi meri tarha Lekin woh khud ko mohabbat nahin karne daita
Phool ka kam hai khushbo se chaman ko bharna
Aur kanton ko bhi bezaar nahin honay daita
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
| POSTED BY: maad01 on 29/08/2007 21:41:42 |
|
Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,
Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,
Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay,
Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,
Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay,
Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain? Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay,
Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... ,
Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,, Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay,
Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay......... ,
Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay...!
--------------------------------------------------------------
Maad
|
| Back To Top |
|
|