" Teri Masoom See Hansi " Shaam key dhaltay andhairoon main Thakki thakki see fiza key lamhoon main Holay holay ubhartay chaand key gird Chamakti chandni ban kar Aksar.. Tera chehra nigahoon key roobaroo aata hai Aur phir aisay main bohat paas kahin Teri masoom see hansi sunai daiti hai Kanoon main gounj uthti hai Jal tarang jaisay Khill uthta hai Har manzar jaisay Mehak uthti hai thakki see fiza Holay holay chalnay lagti hai Tandd-o-taiz hawa Jab teri khushbu lay aata hai koi bhatakta jhounka Uffak key paar chamakta hua chand Kisi key khayal say sharma key simmat jata hai Kisi awara badal ki aarh main chup jata hai Main aankhain mounday huay Door khayaloon main kahin kho jata hoon Apni zaat say hatt kar main tum ho jata hoon Magar aisay main anjanay kahin say Tanhai apni bharpoor shakti lay kar Shaam key phailtay andhairoon main Ghatta see ban kar chah jati hai Aur phir uss per teri yaad sittam dhaati hai Har guzartay pal mujhay tarpati hai Shadeed qurb key alam main Main bahain kholay huay Main apni khamoosh zubaan say tujhay sadda daita hoon Soochta hoon key tum doori chali aao gi Zindagi bhar ko meri bahoon main simmat jao gi Phir haqeeqat ahsaas ki dehleez per dastak dai kar Mujh per aik sach ayyan karti hai Key Aey Dewanay Tu dasht-e-zeest main ab bhi tanha hai Apnay barhtay qadam rook lay tu acha hai Tu khud ko abhi touk lay tu acha hai Warna... Tu dasht-e-zeest main kahin kho jaye ga Khaak ban jaye ga Hawaoon main bikhar jaye ga Magar kia karoon key meri aik uljhan hai Main apni zaat ka hakim hi nahin Meray wajood per TU qabiz hai Ab meri rooh main TU shamil hai Yeh mera dil TERAY naam per dharakta hai Daikhta hoon tu sirf TUM hi TUM ho Soochta hoon tu sirf TUM hi TUM ho Khud ko kho chuka hoon Magar dilbar meray Main ab tujh ko khona nahin seh paaon ga Tum bin jeenay ka tassawur hi nahin Tum say bichra tu shayad Younhi mar jaon ga...!!!
--------------------------------------------------------------
Maad
Jinki yaad mein hum deewane ho gaye, Wo hum hi se begaane ho gaye Shayad unhe talash hai ab naye pyaar ki Kyunki unki nazar mein hum purane ho gaye
Baaki kuch na raha zamaane mein Jawani guzar rahi mehkhaane mein Ab to karle mere pyaar pe yakeen Warna zindagi beet jaayegi aazmane mein
Tumhari har adaa ka kya jawab du Apne pyaar ko kya upahaar du Koi acha sa phool hota to maali se mangwata Jo khud gulaab hai usko kya gulaab du.
Waqt hume bhula chuka hai, Mukaddar bhi na bhula de Hum pyaar isliye nahi karte Ki kahin hume phir se koi na rula de
Aankhon mein aansu aa jaate hain Phir bhi labo pe hansi rakhni padti hai Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron Jisse karta hain useese chupani padti hai
Bahut khoob......
--------------------------------------------------------------
Hum kare toh Balatkar! Aur aap kare tho chamatkaar!!!