|
Viewing 1 - 9 out of 12 Blogs.
Page:
1 |
|
Khuda Hi Khuda Idhar khuda hai, udar khuda hai, Jidar dekho udar khuda hai, idhar-udhar bus khuda hi khuda hai jidhar nahi khuda hai….udhar kal khudega!
Recent News Headlines : Softdrinks Contain Dangerous Pestcides. Insan to newspaper padh sakte hain par janwaro ka kya hoga kyonki…. Aaj kal CHEETAH BHI PEETA HAI !
Pyaar Ise Kehte Hain Jawani ko zindage ki nikhaar kehte hain, pathjad ko chaman ka majdhaar kehte hain, Ajeeb chalan hain duniya ka yaaro, Ek Dhoka hain Jise hum sab “PYAAR†kehte hain !
| Dosti
Posted On 11/12/2007 11:42:09 |
Dosti achchi ho toh rang laati hai, Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai, Dosti naadaan ho toh toot jaati hai, Par agar dosti apne jaisi ho…. …. Toh itihaas banaati hai !
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari, Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari, Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari, Ab tumse kya chhupaana, Tum hi toh ho jaan hamaari !
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa, Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga, Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost, Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !
Zindagi nahin humein doston se pyaari, Doston pe haazir hai jaan hamaari, Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya, Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge, Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge, Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge, Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !
Dosti toh sirf ek ittefaaq hai, Yeh toh dilon ki mulaakaat hai, Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai, Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !
Pyaar kamzor dil se kiya nahi ja sakta, Zeher Dushman se liya nahi ja sakta, Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki us ke bina jiya nahi ja sakta.
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega Door hone ke baad kaun kise yaad aayega Jee lo ye pal jab humsath hai kal ka kya pata, waqt kahan le jayega...
Tu bhi kisi ka pyaar na paaye khuda kare tujh ko bhi tera naseeb rolaaye khuda kare
raatoon mein tujh ko niind na aaye khuda kare tu bhi dar-ba-dar ki thokrein khaaye khuda kare
aaye bahaar tere gulistaan mein baar baar tujh par kabhi nikhaar na aaye khuda kare
meri tarah tujhe bhi javaani me gham milein tu bhi duaa ko haath uthaaye khuda kare
tujh par shab-visaal ki raatein haraam hoon shammein jala jala ke bujhaaye khuda kare
ho jaaein sab bad-duaaein meri dosto galat abh us be-waffa pe koi harf na aaye khuda kare
Wo to majborioon main lipti hain
Apne shiddat bharey khyaloon main
Apne ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Aane waley naye azaboon se
Zardurat main khily gulaabon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti
Kyun ki majboorion main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apne pyaar se apne saye se
Apne rishton se dil ki dharkan se
Apni khwahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!
Na Jaane kyun, teri julfein ghaneri, yaad aati hain, Chamkate Chand se, Roshan wo ratein, yad aateen hain. Nigahe Naz wo, Sharm-o-hayaa ka ek, samandar sa, Na Jane Kyon teri saanse, mehaktee yaad aatee hain. Koi aahat, koi aawaaz, na ab koi chhaap hai Ye raahein hai wahi jinme, tere afsane rehte the Besud nikle tujhe ghar se, bhi kafee der ho chuki Na jane kyun dile-besuda, teri yad aatee hai Chamkate Chand me,Roshan wo ratein, yad aateen hain
Meri khamosh mohabbat ka itna to sila diya hota, Kabhi ik nazar chahat se dekh hi liya hota. Hum bhi tujhe ishq-0-mohabbat se aashna karte, Bas ik baar apne dil mein aane to diya hota. Kya jata tumhara bas hume hi dil se khushi milti, Apni zindagi ki kitaab mein naam hamara bhi likh liya hota. Dekh lete zara gaur se shayad, Tumhare haath ki lakhiron mein hamari kismat ka bhi diya hota.
Pyar hai mujhe tumse, Meri Jaan-e-zindagani Tumhara dil hai mere paas, Apne pyar ki nishaani. Tumhare liye hain meri kaali ghani zulfen Hai bass tumhare naam meri ye jawani. Jub dekha tha tumhe pehli pehli baar Kese bataun tubse kesi huwi deewani.
Hamko kyon tumne bhula diya Dekhe hansi hontho pe Phir kyon itna rula diya Jin hatho ka tha sahara Unhone hee duba diya Hamko chhod majdhaar Khud sahil pe gaya Mere gum kee ye daasta Sunta hai zameen ashmma Ek na sune wahi Jiske liye jita hoon yahana Hamko mila ye kya sila bhulyaa jinke liye sabko Unhone hee hamko kyon bhula diya Dard hai dil main Ankho main anshoo mere Din ke ujale main ab bhee sapne dekhoon tere Na hai ab koi manjil Mile na kohi raste Lagta hai jese ye jindgi Mili hame Gum ke waste Bhula esa kyon diya Jee na paaye chahkar bhee Hum to tumko bhula na paayenge shayad ab to markar bhee
Page:
1 |
|
|