|
Viewing 1 - 9 out of 114 Blogs.
Page:
1 |
|
|
|
|
Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga, Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga ! Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo, Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga ! Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi, Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga ! Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka, Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga ! Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar, Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoonga ! Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga, Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga
udas kaghzi musam mein rang o boo rakh dey
har ek phool ke lab pe mera laho rakh dey
zaban e gul sey chataney tarahney waley
sakot e naqsh mein araish e namo rakh dey
giran lagey hey jo ehsan dast e qatil ka
uth or tegh ke lab pe rag e guluu rakh dey
khuda karey mera munsif saza sunaney mein
mera hi sar merey qatil ke ro ba ro rakh dey
DIL KA DARD JAB PANNO PAR AA
JATA HAI
EK AANSON BHI DARIYA BAN JATA
HAI
DIL K TUTNE KI AAWAZ BHI NAHI
AUR SARA DARD GAZAL BAN JATA HAI
Jo khushi tumharay
kareeb ho
wo sada tumhain naseeb ho
tujhe wo khulos milay ke jo
teri zindagi pe muheet ho
jo mayaar tujhko pasand ho
jo tumhare dil ki umang ho
teri zindagi jo talab kare
teray hamsafar ka wo rang ho
jo khayaal dil main aseer ho
or dua main bhi taseer ho
teray haath uthtay hi Khuda karay
teray saamne tabeer ho
tujhe wo jahan milay jidhar
ghamon ka koi guzar na ho
jidhar rooshni ho khuloos ki
or nafratoon ko khabar na ho...............
--------
Jaab teri
yaad mein yah dil machal jataa hai
Ankh band krta hon aur ashk nekal jataa hai
Teri tasver kO seeney sey laga kar jaab mein
khOOb roleeta hoon too dil behal jataa hai
Jab sy chu ai hen chupkey sy yah ankhen tujko
rooti too hey too yaha ashk nekal jaata hai
Maary jis hath ney thama tha kabhi tera hath
Dil paa wo haath rakhon dil saabhal jataa hai
Teri khushbo ki mahk sy mary ghar mai ab tak
kOOi ghum bhi yahaa ajaey to taal jataa hai
Kitna bybas haa woo insan jis mohobat main
Pyaar miltaa nahi aur waaqt badal jaata hai
Waqt-e-rukhsat meri ankho ny kia tha jo sawal
ab dua ban key mary asshk mein dhal jata hai
Aaj jalta hai yah seena too isey jaalney do
Chand dekhey bina soraj bhi to jaal jata hai
Eshq karna boohot asaan thaa lakin aab dil
Eshq ka naam bhi sun ley to dehel data hai
Shaer mein tha to nahi par tumhari chahat mai
Aab to har ashk sey ek share nikaal jaata hai
Akhri waaqt mein jaab lot key ai woo
Aankh hansti rahi aur dum neekal jaata hai
Saans
chalty rahi, waqt katta raha
Hum bhi chaltay rahay, dil bhi jalta raha
Din badlay hain, badlay zamanay yahan
Tu jo kehty rahi main woh kerta raha
Tujh ko paney ki umong mein sokon lott gaya
Tu chalaty rahi aur main chalta raha
Phool toda hoa bhi murjha jata hay
Main tujh se biched ker bhi hansta raha
Khoot tujh mein hay, meri wafa mein nahi
Main kinaray ko manzil samjhta raha
Mairay jaanay pay aey jaana'n...
Paraishaa'n tum nahee'n hona...
Kabhi chhup ker nahee'n rona...
Judaaii zeher hoti hay...
Mujhay ma'loom hay laikin...
Firaaq-o-hijr ka mausam yaqeenan beet jaaey ga...
Yaqeenan wasl k lamhay...
Dobaara laut aaey'n gay...
Wohi shaamai'n, wohi raatai'n...
Wohi qissay, wohi baatai'n....
Wohi phir daastaa'n ho gi...
Mohabbat meherbaa'n ho gi...!!!
Tumhain jab kabhi milain fursatain,mere dil se bojh utaar
do
Main bohat dino se uddas hon mujhay koi shaaam udhaar doo
Mujhay apnay rooop ke dhoop do k chamak sakain mere khal-o-khad
Mujhay apnay rungg main rungg do,mere saray zungg utar dooo
Kisi or ko mere haaal se na gharaz hai na koi wastaaa
Main bikher gaya hon sameet lo,main biger gaya hon sanwar doo
Mere wehshaton ko berha diya judaiyon kay azaaaaab nayy
Mere dil pe haath rakho zara, mere dherkanoo ko qarar doo
Tumhain subha kaise lagi kaho,mere khwaishon kay dayar kee
Jo bhali lagi to yahen rahoo , isay chahaton se nikhaar dooo
Wahan gher main kon hai muntazir kay fiker ho dair sawair kee
Bari mukhtasir see ye raaat hai isay chandniii main guzaar doo
Koi baaat kerni hai chaand say kisi shaakhsaar kee ooot main
Mujhay raastay main yahen kahen kisi kunj-e-gull main utaar dooo !!
Uss shaam wo rukhsat ka
samaan yaad rahega
wo shehar wo koocha wo makaan yaad rahega
wo tees ki ubhri thi idhar yaad rahegi
wo dard ke uthaa tha yahaan yaad rahega
hum shauq ke shole ki lapak bhool jaayenge
wo shama-e-fasurda ka dhuaan yaad rahega
kuch meer ke abyaat thhey kuch faiz ke misre
ek dard ka tha jin mein bayaan yaad rahega
jaan bakhsh si thhee uss gulbarg ki taraawat
wo lams-e-azeez-e-do-jahaan yaad rahega
hum bhool sake hain na tujhe bhool sakenge
tu yaad rahega hamein haan yaad rahega.
Page:
1 |
|
|
|
|
|