|
Uss shaam wo rukhsat
Posted On: 18/04/2008 07:12:38
|
Uss shaam wo rukhsat ka
samaan yaad rahega
wo shehar wo koocha wo makaan yaad rahega
wo tees ki ubhri thi idhar yaad rahegi
wo dard ke uthaa tha yahaan yaad rahega
hum shauq ke shole ki lapak bhool jaayenge
wo shama-e-fasurda ka dhuaan yaad rahega
kuch meer ke abyaat thhey kuch faiz ke misre
ek dard ka tha jin mein bayaan yaad rahega
jaan bakhsh si thhee uss gulbarg ki taraawat
wo lams-e-azeez-e-do-jahaan yaad rahega
hum bhool sake hain na tujhe bhool sakenge
tu yaad rahega hamein haan yaad rahega.
|