Welcome Guest Login or Signup

THE_GAME
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


RSS
Bahut aziz hai hume,magar paraya hai..
Posted On: 13/09/2007 07:12:28
Bohut azeez hamein hai,magar paraaya hai,

 

Voh chaandi ka badan,khushbuon kaa saayaa hai,

Bohut azeez hamein hai,magar paraaya hai,

Tum itni duur sitaaron kay paas rehtay ho,

Tumhein khudaa nay hamaarey liye banaayaa hai,

Ussay kisi kee mohabbat kaa aitbaar nahi,

Ussay zamaanay nay shaayad bohut sataayaa hai,

Kahan say aayi yeh khushbuu,yeh ghar kee khushbu hai,

Iss ajnabi say andhere mein kaun aayaa hai,

Tamaam ummar mera damm issi dhuen mein ghutaa,

Voh ikk chiraag thaa mainey ussay bhujhaayaa hai,


Bookmark: