Viewing 1 - 1 out of 1 Blogs.
Zameen pe chal na saka asmaan se b gaya
Kata ke par woh parinda uraan se b gaya.
Tabaah kar gayi pakkay makaan ki khwahish
main apne gaun k kachay makaan se b gaya.
Parai aag main jal k b kya mila mujh ko
usay bacha na saka apni jaan se b gaya.
Bhulana chaha to us ki b inteha kar di.
Woh shakhs ab mere wehm-o-guman se b gaya.
Kisi k hath ka nikla hua woh teer hoon main
Hadaf ko choo na saka aur kamaan se b gaya