Welcome Guest Login or Signup

harsha911
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


Viewing 28 - 36 out of 61 Blogs.


<< First  < Previous | Page:  2 | 3 | 4 | 5 | 6 | Next >  Last >>


Rishte to bante he uparwale ki duniya me,
Posted On 04/12/2007 17:48:03
Rishte to bante he uparwale ki duniya me,

HUM to sirf nibhana chahte he,

Pataa nahi dusre janam ke bare me,

Par Aap  jaise DOSTo ko har janam me panaa chahte he...

Suni zindagi me halchal mehsus hui,
Posted On 04/12/2007 17:45:34
Suni zindagi me halchal mehsus hui,

Bejaan dil ki aaj dhadkan mehsus hui,

Jane aaj kyun aisa laga mujhe ki,

Shayad aapke saath ki kami mehsus hui...

woh mile humko kahani bankar...........
Posted On 03/12/2007 13:30:00

woh mile humko kahani bankar...........
dill me rahe pyar ki nishani bankar.........
hum jinhe jagah dete hai dill keeeeeey andar
woh aksar nikal jate hai ..........

humari ankho se pani... bankar.....


Ruthna mat hume manana ni aataa...
Posted On 30/11/2007 13:11:42
Ruthna mat hume manana ni aataa...
Dur mat jana hume bulana nahi aataa...
Aap bhul jao aapki marzii...
Magar hum kya karein?
Hume toh bhulana bhi nahi aata.....

Aapki dosti ki ek nazar chahiye;
Posted On 21/11/2007 10:03:12
Aapki dosti ki ek nazar chahiye;
Dil hai beghar use ek Ghar chahiye.
Bas yun hi saath chalte raho ae dost;
Yeh Dosti hume umar bhar chahiye.

Gham ko bechkar teri Khushi khreed lenge,
Posted On 21/11/2007 10:01:57
Gham ko bechkar teri Khushi khreed lenge,
Khwaab ko bechkar teri Zindgi khreed lenge,
Hoga yadi Imtihaan to Duniya Dekhegi,
Khud ko bechkar hum Tumhari Dosti Khreed lenge...

Aaj kuch pine pilane ki jrurat hi na rahi
Posted On 20/11/2007 11:43:57
Aaj kuch pine pilane ki jrurat hi na rahi
 
            &nb sp;       
 
            &nb sp; Sada pani bhi aaj sharab ban gayi
 
            &nb sp;      
 
            &nb sp; Zalim ! dekha tune aaj kuch is tarh
 
            &nb sp;      
 
          To meri niyat hi kharaab ho gayi
 
            &nb sp;      
 
            &nb sp;     Mai Kya Karu ? Batao
 
            &nb sp;      
 
       My Love 4 u

Kuchh baat kaho
Posted On 19/11/2007 15:10:23
Kuchh baat kaho
Teri baat chaley meri raat katey..

kuchh baat karo uss basti ki
Badal Barish aur masti ki

Ya baat karo uss bandhan ki
payal choori aur kanggan ki

Ya baat karo un sapno'n ki
jinhain tum bhe Socha kartey ho
khuwabo'n main pooja kartey ho

Ya hava main urtey anchal ki
jo jab lehraey kuchh yaad aaey
tera chain churaey meri neend uraey

tum mujh sey kaho ..
kuchh baat karo ..
Teri baat chaley meri raat katey..!!


Badi Nazuk Hai Ye Manzil,Mohobbat Ka Safar Hai
Posted On 19/11/2007 14:30:49
Badi Nazuk Hai Ye Manzil,Mohobbat Ka Safar Hai

 

 

 

 

Badi nazuk hai ye manzil, mohobbat ka safar hai.(2)

Dhadak aahista se E Dil, (2), Mohobbat ka safar hai.

Badi nazuk hai ye manzil, mohobbat ka safar hai. 

 

 

Koi sunle naa ye kissa bahot dar lagata hai.(2)

Magar darne se kya haasil, (2), Mohobbat ka safar hai.

Badi nazuk hai ye manzil, mohobbat ka safar hai. 

 

 

Batana bhi nahi aansa, chhupana bhi kathin hai. (2)

Khuda - ya kis kadar mushkil, (2) Mohobbat ka safar hai.

Badi nazuk hai ye manzil, mohobbat ka safar hai.

 

 

Ujaale dil ke phaile hai, chale aao na jaanib (2)

Bahot hi pyaar ke kabil, (2), Mohobbat ka safar hai.

Badi nazuk hai ye manzil, mohobbat ka safar hai. 

 

 

Badi nazuk hai ye manzil, mohobbat ka safar hai. (2)

Dhadak aahista se E Dil, E Dil, E Dil, Mohobbat ka safar hai.

Badi nazuk hai ye manzil, mohobbat ka safar hai. 



<< First  < Previous | Page:  2 | 3 | 4 | 5 | 6 | Next >  Last >>