Duniya se jaane wale jaane chale jaate hain kahan
kaise dhoondhe koi unko nahi qadmon ke bhi nisha'n
jaane hai woh kaun nagarya
aaye jaaye khat na khabarya
aaye jab jab unki yaadein
aaye honton pe faryaadein
jaake phir na aane waale
jaane chale jaate hain kahan
mere bichre jeevan saathi
saathi jaise deepak baati
mujhse bichar gaye tum aise
saawan ke jaate hi jaise
udd ke badal kaale kaale
jaane chale jaate hain kahannn.........
