Asslam-o-Alaikum Namaz e Juma ki sharaiet Namaz e juma key wajib honey ki 11(geyara)Shartein hain. 1.Muqeem hona (musafir par wajib nahee) 2.Tandrusti (Bemar par juma farz nahee,Sakht bemar) 3.Aazad hona(Ghulam par juma wajib nahee) 4.Mard hona (Aorton par juma wajib nahee) 5.Baligh hona 6.Aaqil hona (Hosh o hawas rakhna) (majno par wajib nahee) 7.Aankhon ki Benaiee hona (Andhey par juma farz nahee,Albata aeek Aankh waley par juma farz hai) 8.Chalney ki Qudrat rakhna (Agar langra aadmi Jamia masjid janey ki Qudrat rakhta hee to us par farz hai aor agar koi Falig zada Shakhas hai ya Tangon see bilkul mazoor hai to us par farz nahee. 9.Mahboos na hona 10.Police ya choron ka khof na hona 11.Sakht barish,baraf bari ta ise tara ki koi dosri cheez jis sey woh masjid puhnchne sey qasir ho. Juma pahrna Afzal hee aor magar aorat key leyee juma sey Zuhar ki namaz Afzal hee.Keyon key is key leyee ghar ki namaz Ba-Muqabla Masjid zeyada fazeelat rakhti h[color=#ff3300]ai. (Dur e Mukhtar)[/color]