koi mousam ho dil mein hai tumhaari yaad ka mousam
ki badla hi nahi jaana tumhaare baad ka mousam
nahi to aazma ke dekhlo' kaise badalta hai..
tumhaare musukraane se dil-e-nashad ka mousam
ruton(seasons) ka qaeda(hobby) hai,wqt pe aati hain,jati hain
hamaare shher mein kyon ruk gaya faryaad ka mousam
kahi se us haseen aawaz ki khushboo pukaaregi.....
to uske saath badlega dil-e-barbad ka mousam
na koi gam khizan(autumn) ka hai' na khwahish hai bahaaro ki,
hamaare sath hai 'Amjad kisiki yaad ka mousam