Main bhool jaaun tumhen,ab yahi munaasib hai
Magar bhulaana bhi chaahun to kis tarah bhoolun
Ki tum to phir bhi kaqeeqat ho koi khwaab nahi
Yahan to dil ka ye aalam hai,kya kahun’kambakht
Bhulaa saka na wo ek silsila jo thaa hi nahi,
Wo ek khayaal jo aawaz tak gayaa hi nahi,
Wo eik baat jo main kah nahi saki tum se..
Wo eik rabt jo ham mein kabhi rahaa hi nahi,
Agar ye haal hai dil kaa to koi samjhaaye..
Tumhen bhulaana bhi chaahun to kis tarah bhoolun…..
Ki tum to phir bhi kaqeeqat ho koi khwaab nahi………