|
CHAHTA HOON.......
Posted On: 25/07/2007 17:20:48
|
Zamanay ko samajna chahta hoon ... Main apni rutt badalna chahta hoon Kay bey mani hai ab sari kitabin!.... Teray Chehray ko Parna Chahta hoon Abhi khushyoon ko mujh saY door rakho!.. Abhi ghum say uljna chahta hoon Tumhara hujar kitna jaan fiza hai ... Main har lamha tarpna chahta hoon Main apni akhri sansoon ki hadth tak.. Tumhari rah takna chahta hoon Teri yadin mera daman tu chor din !... Kay main khud ko sambalna chahta hoon Kisi taweez ki soorat main meri jaan!... Teray seenay say lagna chahta hoon Sulagti hai meray ander judai ... Bhala main kab tarpna chahta hoon ? Meray dil main hai bus itni tamna ?... Teray dil main darkhna chahta hoon
|