Jab humne socha to samajh na aaya,
Kisne kitna khoya, kitna kisne paaya..
Har ek aansoo jo tapka hamari aankhon se,
Ek hi nahi sawaal to thae laakho se..
Phir jaana, jawaab dene wala bhi insaan chahiye,
Na maana, kaha har kisi se zara unhe dhoond laayiye..
Jawaab dene wala hazir par jawaab na milega,
Hum to samajhne lage ki ab baago me gulab na khilega..
Khamosh rehna lekin jawaab to dena tum,
Yaad rakhna, yaadein saath rehti hai, cheezey hoti hai gum..
Kab tak karoge dikhaawa aur banoge anjaan se,
Lagta hai shaayad darte ho apni iss nayi pehchaan se..
Rehna hai gumnaam sa to reh sakte hai aap magar,
Koi naya saathi mil gaya fir na choddna yeh insaaf ki dagar..
Fir to faisla insaaf na kehlayega,
To fir tu apni yeh nahi pehchaan kitno se chupayega??
Todo yeh khamoshi jiyo zindagi ko,
Haasil karo apni manzil, apni aarzoo ko..
Kehna hai bas itna, samjho mera matlab tum,
Yaad rakhna, apne pyaar ki yaadein ab hongi kabhi na gum!!