|
| POSTED BY: kashish on 14/08/2007 07:44:14 |
|
Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana
Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana
Ye saray pairH poday tum bin kai raat jagay heiN Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana
Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana
Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana
Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana
Jo kehte kahte ruk gaye, un sari batooN ki Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana
Na janay KIO hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana
Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho Mujhe tum doosra unwan lado phir chalay jana
Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaye raigaN Mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chalay jana[
--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
|