Dil Mein Jo Baat Hai Woh Baat Kahoge Kab Tak
Dekhna Yeh Hai Ke Khaamosh Rahogey Kab Tak
Kab Tak Is Baat Ko Honton Pay Na Laaogey Tum
Kab Tak Is Jazba-e-ulfat Ko Chupaogey Tum
Kab Tak Is Raah Se Katra Kay Chalogey Tanhaa
Kab Tak Is Aag Mein Chup Chaap Jalogey Tanha
Dil Ki Woh Baat Jo Honton Pay Thehar Jaati Hai
Jii Jalaati Hai Tumhara Tumhein Tarpaati Hai
Lab Pay Laatey Hue Bhi Jis Ko Hijaab Aata Hai
Bin Kahe Bhi Jisay Dil Chhain Nahin Paata Hai
Chup Kay Darya Mein Khamoshi Say Bahogey Kab Tak
Dekhna Yeh Hai Ke Khaamosh Rahogey Kab Tak