ab yaad dilaey kon tumhe
ye din b akhir beet gaya
tumhara b koi dosh nahi
ye bazi b jug jeet gaya
wo sard hawaein ab b hain
rangeen fizaein ab b hain
wo bheegi bheegi pani ki
pur shor sadaein ab b hain
main ab b odhar ko jata hoon
or dil apna sulgata hoon
jab tum nahi hote sath mere
hote hain khali hath mere
pur shor sadaein pochti hain
wo sard hawaein pochti hain
wo kaha gaya sathi tera
kiya phir ye zamana jeet gaya?