Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 307 - Total Replies: 2

POSTED BY: kashish on 22/08/2008 11:41:16


kuch log zindagi mein aate hein is tarah

Kab kaise jigar jaan dost ban jaate hein kiya pata

Par…  ab mai apni kismat ko azmata nahi...

Ke main ab koi dost  banata nahin

 

Kuch log mile the mujhe bhi raah-e-zindagi mein

Baharon me saath chale bhi the wo mere

Toofano me koi saath chal pata nahi..

Ke main ab koi dost  banata nahin

 

Har baar yakin karta hoon sabke fareb par..

Rakhta hoon apne yakeen ke tukre samet kar..

Par... ab .... kisi per bhi aitbaar aata nahi..

Ke main ab koi dost  banata nahin

 

Ek baat kahun..

 

Khush ho to dunya sath hoti hai...

Rooth jao… to koi manata nahi..

Isi liye shayed….

Main kisi ke samne apne aansu bahata nahi…

Ke main ab koi dost  banata nahin...

 
 
im.noor@yahoo.com      im.noor@yahoo.com      im.noor@yahoo.com 
 
 






--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~




POSTED BY: Kshitiz on 22/08/2008 12:54:24


Khush ho to dunya sath hoti hai...

Rooth jao… to koi manata nahi..

Isi liye shayed….

Main kisi ke samne apne aansu bahata nahi…

Ke main ab koi dost  banata nahin...

khub kahi





--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
Back To Top




POSTED BY: alokdubeyforu on 26/08/2008 07:19:53


Badhiyaa Hain..





--------------------------------------------------------------
Hum kare toh Balatkar! Aur aap kare tho chamatkaar!!!
Back To Top
18/11/2026



*** NkuT.Com ***