tu abhi se waqife gham na hon abhi tera ahde shabab hai
meri chashme shauq na dekh tu ke aansuon ki kitab hai
na meri nazar se nazar mila ke yeh ittefaq ajeeb hai
mujhe shuaq jaame sharab ka teri aankh jaame sharab hai
tu abhi se .......
tere rukh pe jo bhi nazar padi woh shuaayein husn se jal gayi
tujhe dekh sakta nahi koi tera husn khud hi naqab hai
tu abhi se........
jahan dil khushi se jhuka mera wahin sar bhi maine jhuka diya
mujhe anjum isse garaz nahi yeh azaab hai ya sawab hai
meri chashme shauq na dekh tu ,ke aansuon ki kitab hai
tu abhi se waqife gham na hon abhi tera ahde shabab hai
--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~