Dard sae kuch aisa rishta hai mera,
aansuoon ke dariya main dil thehera hai mera,
hota hai ye hi aksar saath mere,
hastae-hastae bheeg jaata hai chehra mera,
chod jaatae hain beech rah main sab mujhae,
jo na gaya chodkar kabhi wo saaya hai mera,
umr ka kya hai wo to kat hi jayegi,
bas jo nahi kat'ta wo waqt hai mera.