Wo Jazbon ki tajarat thi, ye dil kuch aur samja tha
Ose hasne ki adat thi , ye dil kuch aur samja tha
Muje us nay kaha ao nyi dunya basate hn
Ose soji shararat thi , ye dil kuch aur samja tha
Hamesha os ki ankhon main dhanak se rang hote hn
ye os ki Aam halat thi , ye dil kuch aur samja tha
Wo mere pas baithe dair tk ghazlein meri sunta
Ose khud se muhabt thi , ye dil kuch aur samja tha