Uttho merii duniyaa ke Gariibon ko jagaa do Khaak-e-umaraa ke dar-o-diivaar hilaa do garmaao Gulaamon kaa lahuu soz-e-yaqin se kunjishk-e-phiromaayaa ko shaahiin se laraa do sultaanii-e-jamahuur kaa aataa hai zamaanaa jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaye miTaa do jis khet se dahaqaaN ko mayassar nahii.n rozii us Khet ke har Khoshaa-e-gundam ko jalaa do kyon Khaaliq-o-maKhaluuq mey haayal rahein parde piiraan-e-kaliisaa ko kaliisaa se haTaa do main naaKhush-o-bezaar huuN mar_mar ke silon se mere liye miTTii kaa haram aur banaa do tahaziib-e-naviin kaar_gah-e-shiishaagaraaN hai aadaab-e-junuuN shaayar-e-mashriq ko sikhaa do
wah wah !
wah wah wah wah janab iqbaal sahab bahot khoob