Koi to hai Dil ke kareeb Anjaana sa,
Kya naam usse dun ,woh hai begaana sa,
Kashish aisi hai uske aks mein,
Ban jaye uska har koi ,bhul ke zamana,
Basta hai AAnkhon mein Khwabon ki tarah,
Dil mein dafan hai woh gehre raaz ki tarah,
Aate hai safar mein anjaane kai,
Ban jata hai koi khaas dil mein chaht ki tarah,
Kuch alag sa tha ehsaas deewane ka,
Jo ehssas apna sa de gaya bheed mein kuch is tarah,
Kuch yeh tha ki aankh nam na hoyi thi,
Dil pe dastak de gaya koi banke fasana,
Phir yun hua ki koi Dil ka sartaz ban baitha,
Ajnabi se koi khaas ban baitha,
Kya aur sunaye bus itna sa hai dil ka Fasana,
Qayamat tak ke liye koi kar gaya vaada saath nibhane ka
--------------------------------------------------------------
[i]sHe Took Me Fr0m a Bar.sHe Took Me In Her Car. sHe Took My T0p 0ff. sHe Puts Her Lips 0n Mine,But D0n’t W0rry I’m a Bottle 0f Wine
