Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 340 - Total Replies: 4

POSTED BY: kashish on 10/07/2007 10:12:39






Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti k Musafir Ne Samander Nahi Dekha


Be Waqt Agar Jaon Ga Sab Chonk Parein Ge
Ik Umer Hoyi Din Mein Kabhi Ghar Nahi Dekha


Jis Din Se Chala Hoon Meri Manzil Pe Nazar Hay
Aankhon Ne Kabhi Meel Ka Pathar Nahi Dekha


Yeh Phool Mujhay Koi Virasat Mein Milay Hain
Tum Ne Mera Kaanton Bhara Bistar Nahi Dekha


Phathar,Mujhay Kehta Hay Mera Chahnay Wala
Main Mom Hoon Uss Ne Mujhay Chho Kar Nahi Dekha...!!!


Kis Kis k Ghar Ka Noor Thi Mere Lahoo Ki Aag
Jab Bujh Gaya To Phir Se Jalaya Gaya Mujhay...!!!






--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~




POSTED BY: mehvish on 11/07/2007 07:12:28


itna dard kun bhara hai apke dil me




--------------------------------------------------------------
my profile is as simple as me
Back To Top




POSTED BY: kashish on 11/07/2007 08:25:37


duniya ki saari khoobsoorut cheezein dard ki kokh se hi janam leti hai mehvish sahiba





--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top




POSTED BY: mehvish on 12/07/2007 06:41:58


kya bat hai kashish isliye to main apki qayal huyi hun




--------------------------------------------------------------
my profile is as simple as me
Back To Top




POSTED BY: kashish on 12/07/2007 10:46:24


thanx a lotttt




--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***